Q6. ALLAH Ke Zaati Aur Sifaati Naam Kitne hain?

Q6) ALLAH Ke Zaati Aur Sifaati Naam Kitne hain?

Ans. Rab Tala Ka Zaati Naam Allah Hain, Isko Esm E Zaat Bhi Kehte Hain, Aur Lafz E Allah Ke Siwa Dusre Naam Jo Uski Sifaat Ko Zaahir Karen Unhe Sifaati Naam Kehte Hain Aur Woh Beshumaar Hain, Hadees Sharif Mein Hain Ke Allah Tala Ke 99 Naam Jis Kisi Ne Yaad Kar Liye Woh Jannati Hain (Sahih Muslim,hadees No. 2677, Page :1439)
Haan In Naamo Ke Elawa Aise Naam Jo Quran O Hadees Mein Naa Ayen Ho Jayez Nahi. Example: Allah Ko Sakhi Ya Rafiq Kehna Issi Tarha Dusri Qoumo Mein Uske Jo Naam Mukarar Hain Aur Kharab Maana Rakhte Hain Yeh Bhi Uske Liye Mukarar Karna Naa-jayez Hain. Jaise Khuda Ko Ram, Parmaathmaa, Ishwar Etc. Kehna.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *