Rozedar Na Hum’Bistari Kare, Naa Fahash-Jahalat Ki Baate

Abu Hurairah Radi Allahu Anhu Se Rivayat Hai Ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya, Roza Dojakh Se Bachney Ke Liye Ek Dhaal Hai Isliye ( Jo Rozedar Ho) Wo Na To Biwi Se Humbistari Karey Aur Na Fahash (buri) Aur Jahalat Ki Batein Kare Aur Agar Koi Shaksh Us Sey Ladey Ya Usey Gaali De To Uska Jawab Sirf Ye Kahna Chaahiye Ki Main Rozedar Hun Do Baar (kahey) , Us Zaat Ki Kasam Jiskey Haath Mein Meri Jaan Hai Rozedar Ke Munh Ki Bu Allah Ke Nazdeek Musk Ki Khushbu Se Bhi Jiyada Pasandeeda Aur Pakeeza Hai ( Allah Taala Farmata Hai) Banda Apna Khana Peena Aur Apni Shahwat Meri Liye Chodta Hai Roza Mere Liye Hai Aur Main Hi Iska Badla Dunga Aur Nekiyon Ka Sawab Bhi Asal Neki Ke 10 Gunna Hota Hai.

[ Sahih Bukhari, Vol 3, 1894 ]

4 Comments
  1. Abdul qadir June 30, 2014 Reply

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *