Q10. Nabi E Karim (sallalahu Alaihi Wasalam) Ke Ilm Shareef Ke Mutaliq Kia Aqeeda Rakhna Chahiye?

Q10. Nabi E Karim (sallalahu Alaihi Wasalam) Ke Ilm Shareef Ke Mutaliq Kia Aqeeda Rakhna Chahiye?

Ans. Ahle Ilm Ka Is Baat Per Ittefaaq Hain Ke Jis Tarha Nabi E Karim (Sallalahu Alaihi Wasalam) Apne Tamam Kamalat Mein Tamam Ambiya O Mursalin Alaihi Musalatul Wa Taslim Se Afzal O Ala Hain, Isi Tarha Nabi E Karim (Sallalahu Alaihi Wasalam) Kamalat E Ilmi Mein Bhi Sab Se Faik (buland) Hain. Quran Ki Bahot Sari Ayaat Aur Qaseer Ahadees Se Yeh Baat Sabit Hain Ke Allah Ne Apne Maboob Sallalahu Alaihi Wasalam Ko Tamam Qainat Ke Uloom Ata Farmayen Aur Ilm E Ghaib Ke Darwaze Nabi E Karim (Sallalahu Alaihi Wasalam) Per Khol Diye. Nabi E Karim (Sallalahu Alaihi Wasalam) Per Har Cheez Roshan Farma Di Aur Aap Ne Sab Ko Jann Liya, Yaani Jo Kuch Asmaan O Zameen Mein Hai, Sab Nabi E Karim (Sallalahu Alaihi Wasalam) Ke Ilm Mein Hai, Lekin Yaha Yeh Baat Zehen Nashin Kar Leni Chahiye Ke Ilm E Ghaib Zaati Sirf Allah Ke Saat Khaas Hai Aur Ambiya E Karam Aur Auliya E Ezaam Ko Ilm E Ghaib Allah Ki Talim Se Ata Hota Hain. Allah Ke Bataye Begair Kisi Ko Kisi Cheez Ka Ilm Nahi Aur Yeh Kehna Ke Allah Ke Bataye Se Bhi Koi Nahi Janta Mehez Baatil Aur Qaseer Ayaat O Hadees Ke Khilaaf Hain, Lihaza Nabi E Karim (Sallalahu Alaihi Wasalam) Ka Ilm E Ghaib Zaati Nahi Balke Aatai Hain Aur Allah Ka Ilm E Ghaib Zaati Hain.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *