Q20. Paigambar'on Aur Dusre Insaano Mein Kya Fark Hain?

Q20. Paigambar’on Aur Dusre Insaano Mein Kya Fark Hain?

Ans. Paigambaron Aur Dusre Insaano Mein Zameen O Asamaan Ka Fark Hain, Nabi Aur Rasool Khuda Ke Khass Aur Masoom Bande Hote Hain Unki Nigrani Aur Tarbiyat Khud Allah Farmata Hain. Sagira Khabeera Gunaho Se Bilkul Paak Hote Hai, Aali Nasab, Aali Hasab, Aur Insaaniyat Ke Aala Martabe Per Puhuche Hue Khoobsorat, Naik Seerat, Ibadat Guzaar, Parheez’gar, Tamam Akhlaaq E Hasana Se Aarasta Aur Har Kism Ki Burai Se Door Rehne Wale Unhe Aqle Kaamil Ata Ki Jaati Hain Jo Aur’on Ki Aqal Se Ba’darjah Zaaid Hain. Kisi Haqeem, Falsafi Ya Science’daan Ki Fehmo Farasat Uske Lakh’we Hisse Tak Bhi Nahi Puhuch Sakti Kyu Ke Woh To Allah Ke Pyare Bande Aur Uske Mehboob Hote Hain. Allah Inhe Har Aisi Baat Se Door Rakhna Hain Ke Baais E Nafrat Ho, Isiliye Ambiya E Karam Ke Jism’on Ka Bars Aur Kood Wagera Har Aisi Bimaari Se Paak Hona Zaroori Hain Jisse Log Ghinn Khaate Ho.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *