Q3. ALLAH Taala Ke Mujood Hone Per Kya Dalil Hain?

Q3. ALLAH Taala Ke Mujood Hone Per Kya Dalil Hain?

Ans. ALLAH Ka Mujood Hona Suraj Se Zaida Roshan Hai. Uski Zaat Ka Yakeen Har Shakhs Ki Fitrat Mein Dhakil Hain. Apne Dekha Hoga Ke Bimariyo Mein Maut Ke Qareeb Aksar Yeh Fitrat E Asliya Zaahir Ho Jaati Hain, Aur Barde Barde Munkarin Bhi Khuda Hi Ki Taraf Ruju Karne Lagte Hain. Thori Si Aqal Wala Insaan Bhi Duniya Ki Tamam Cheezon Per Nazar Kar Ke Yeh Yakeen Kar Leta Hain Ke Beshak Koi Aisi Zaat Zaroor Hain Jo Is Qainaat Ke Nizaam Ko Chala Rahi Hain. Aur Wohi Khuda Hain. Jaisa Ke Para 2, Surah Baqra : Ayaat 169 Mein Allah Farmata Hain.

“Aur Tumhara Mabood Ek Maabood Hain, Uske Siwa Koi Mabood Nahi Magar Wohi Bardi Rehmat Wala Meherban Hain”

Aur Isi Tarha Para 17 Surah Ambiya Ayaat 22 Mein Irshad Hota Hain
“agar Asmaan Aur Zameen Mein Allah Ke Siwa Aur Khuda Hote To Zaroor Tabha Hote” (yaani Allah Ki Siwa Koi Aur Khuda Bhi Hota To Zameen Aur Asmaan Tabha Ho Jaate, Hue To Nahi. Iska Matlab Khuda Ke Siwa Koi Aur Khuda Naa Hain Naa Ho Sakta Hain)

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *