Q7) Kya Allah Ke Naam Ke Saat Kisi Aur Ka Naam Rakh Sakte Hain?
Ans. Allah Ke Baaz Naam Jo Maqlook Per Bole Jaate Hain Unke Saat Naam Rakhna Jayez Hain Jaise Laatif, Rashid, Kabeer… Kyu Ke Bando Ke Naamo Mein Woh Maana Murad Nahi Hote Jo Allah Ke Liye Sabit Hai Lekin In Naamo Ke Saat Bhi Abd Ka Izaafa Behtr Hain. Jaise Abdul Latif, Abdul Rashid Etc. Aur Woh Naam Jo Allah Ke Saat Khaas Hain Unke Saat Naam Rakhna Naa-jayez Hain. Jaise Rahmaan, Kaahaar, Etc.
TOU KIYA ABDUL REHMAAN YA ABDUL QAHAAR NAHEN RAKH SAKTE KIYA ?
Abdul Rehmaan Abdul Qahhar Naam Rakh Sakty Hen Lekin Lafz Abdul Likhna Aur Bolna Wajib Ho Ga, Sirf Rahman Ya Qahhar Nahi Bol Sakty Makhlooq Ko, Isiliye Ke Yeh Naam Allah Ke Saat Khaas Hain.