Hazrat Fatima Bint Asad Bin Hashim Ne Inteqal Farmaya – Ye Pehli Hashimi Khatoon Hai Jinhone Hashimi Bacha Jana – Yaani Ye Khud Bhi Aur In Ke Khawind Hazrat Abu Talib Dono Khandan Banu Hashim Se The.
Aap Ne Aaghaas Me Hi Islam Khubool Kar Liya Tha, Sarwar-e-Aalam Sallallahu’Alaihi’Wa’Salla
Jab In Ka Inteqal Hua To Huzoor Ne Apni Khameez Utar Kar Inhe Pehnai Aur In Ki Lahad (Khabar) Me Kuch Dair Ke Liye Khud Lete Rahe Jab Inko Dafan Kar Chuke To Farmaya,
“Aye Meri Maa ALLAH Tala Tujhe Jaza-e-Khair De – Beshak Tu Behtareen Maa Thi”
Huzoor Ne Farmaya May Ne Apni Khameez Inhe Is Liye Pehnai Ke Inhe Jannat Ka Libaz Pehnaya Jaye Aur Lahad Me Is Liye Leta Hu Ke Ye Khabar In Per Kushada Hojaye.
(Tareeq Al’Khameez Jild 1 Safa
467, Seerat Al’Rasool Zia’An Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam, Jild 3, Safa 428)