Qayamat Ki 72 Nishaniya

Hazrat Huzaifa Radi Allahu Anhu Se Riwayat Hai Ke, Huzure Akaram Sallalahu Alehi Wasallam Ne Irshad Farmaya Ke, Qayamat Ke Qareeb 72 Bate Pesh Aaegi.

1. Log Namaze Tarkk Karne Lagenge.

2. Amanat Zaya Karne Lagenge. Yani Jo Amanat Un Ke Pas Rakhi Jaegi Us Me Khayanat Karne Lagenge.

3. Sood Khaya Jayega.

4. Jhoot Ko Halal Samjne Lagenge. (yani Jhoot 1 Fan (Hunar) Ban Jaega. Ke Kon Kitni Sifat Se Jhoot Bol Leta Hai.

5. Mamuli Mamuli Bato Par Khoon Rezi Karne Lagenge.

6. Unchi-unchi Imarate (building) Banayenge.

7. Ilm Bech Kar Log Dunay Jama Karenge.

8. Qata Rahmee Yani Rishte Daro Se Bad-Suluki Hogi.

9. Insaaf Naayab Ho Jaega.(Yani Insaaf Mushkil Se Mil Sakega)

10. Jhoot Sach Ban Jayega.

11. Resham Ka Libas Pehna Jayega.

12. Zulam Aam Ho Jayega.

13. Talaq Ki Kasrat Hogi. (Yani Khub Talaq Di Jayegi)

14. Nagahani Maut Aam Ho Jayegi.

15. Khayanat Karne Wale Ko Ameen (Amanat Dar) Samja Jayega.

16. Amanat Dar Ko Khain (Khayanat Karne Wala) Samja Jayega.

17. Jhoote Ko Sach-cha Samja Jayega.

18. Sach-che Ko Jhoota Samja Jayega.

19. Tohmatdarazi (Ilzam Lagana) Aam Ho Jayegi.

20. Baarish Ke Bawajud Garmee Hogi.

21. Log Aulad Ki Khwahish Karne Ke Bajae Aulad Se Karahat Karne Lagenge.

22. Kameeno Ke Thath Honge.

23. Shareefo Ke Naak Me Dam Aa Jayega.

24. Ameer Or Wazeer Jhoot Ke Aadi Ban Jayege.

25. Ameen Khayanat Karne Lagenge.

26. Sardar Zulam Pehsa Honge.

27. Aalim Or Qari Badkar Honge. (Allah Ki Panah )

28. Log Janwaro Ki Khalo Ka Libas Pehanne Lagenge.

29. Dil Murdar Se Zyada Badbudar Honge.

30. Dil Elwe Se Zyada Kadwe Honge.

31. Sona (gold) Aam Ho Jayega.

32. Chandi Ki Maang Hogi.

33. Gunaah Zyada Honge.

34. Aman (Shanti, Chain, Sukun) Kam Ho Jayega.

35. Quran E Kareem Ke Nuskho Ko Aarasta Kiya Jayega. Or Us Par Naqsh O Nigar (design) Banaya Jayega.

36. Masjido Me Naqsh O Nigar Kiya Jayega. Yani Khubsurat Designs Wali Masjide Hongi.

37. Unche Unche Minar Banege. (Jaisa Aaj Ham Dekh Rahe He)

38. Lekin (Masjido, Quran Ko Zinat Wala Banane K Ba Wajud) Dil Wiran Honge.

39. Sharab Pee Jayegi.

40. Shariat Ki Sazaye (Islamic Law) Ko Khatam Kiya Jayega.

41. Beti Maa Par Hukumat Karegi. Or Us Ke Saath Aisa Suluk Karegi Jaise Aaqa Apni Kaneez Ke Saath Suluk Karta Hai.

42. Gair Muhazzab Log Badshah Banege.

43. Tijarat Me Aurat Mard Ke Saath Shirkat Karegi.

44. Mard Aurat Ki Naqal Karenge.

45. Aurte Mardo Ki Naqal Karenge.

46. Gairullah Ki Qasme Khai Jayegi.

47. Musalman Bhi Bagair Kahe Jhooti Gawahi Dene Ko Taiyar Ho Jaenge.

48. Sirf Jaan Pehchan Ke Logo Ko Salam Kiya Jayega.

49. Deen Ka Ilm Dunya Ke Liye Padha Jayega.

50. Aakhirat Ke Naam Se Dunya Kamai Jayegi.

51. Maal-e-Ganeemat ko Zaati Maal Samja Jayega.

52. Amanat Ko Loont Ka Maal Samja Jayega. Yaani Agar Kisi Ne Amanat Rakhwadi To Samjenge K Ye Loont Ka Maal Hasil Ho Gaya.

53. Zakat Ko Jurmana (tax) Samja Jayega.

54. Sab Se Razeel (kameena) Aadmi Qaum Ka Leadar Or Qaid Ban Jayega.

55. Aadmee Apne Baap Ki Na Farmani Karega.

56. Aadmee Apni Maa Se Bad Suluki Karega.

57. Dost, Dost Ko (bila Jijak) Nuqsan Pahochayega.

58. Shohar Biwi Ki Itaat Karega. (Biwi Ki Baat Man Kar Chalega)

59. Badkaro Ki Aawaze Masjido Me Buland Hongi.

60. Gaane Wali Aurato Ki Izzat Ki Jayegi.

61. Gaane Bajae Or Mosiqi Ke Saman Ko Hifazat Se Rakha Jayega.

62. Aam Rasto Par Sharab Pee Jayegi.

63. Zulam Karne Ko Fakhr Samja Jayega.

64. Insaaf Bikne Lagega. Yaani Adalato (court) Me Insaf Farokht Hoga. Log Paise Dekar Us Ko Kharidenge.

65. Police Walo Ki Kasrat Hogi. (Police Wale Bahot Zyada Hogne. Jaise K Aaj Kal He).

66. Qurane Kareem Ko Nagma (Gaane) Ka Zariya Banaya Jayega. (Quran Ko Sawab Hasil Karne K Liye Nahi Padha Jaega)

67. Darindo Ki Khaal Ka Ishtemal Kiya Jayega.

68. Ummat Ke Aakhri Log Apne Se Pehle Logo Par L’an-t’an Karenge.

69. Ya To Tum Par Surkh Aandhiya Aayegi

70. Ya Zalzale Aayenge.

71. Ya Logo Ki Surate Badal Jayegi. (Hadees Ka Mafhum He K Raat Ko Log Gaane Baaje Me Lagenge Or Subah Un Ki Surate Bandar Or Suwwar Jaisi Ho Jayegi.

72. Ya Aasman Se Patthar Barse Ya Allah Ki Taraf Se Koi Or Azab Aajaye.

(Durre Mansur, 6:52)

No Responses

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *