Kitna Ilm Seekhna Farz Hai?

Woh Tammam Uloom Jo Us Per Farz Hein Or Farz Uloom Sey Muraad Woh Ilm Hey Key Jin Ki Taraf Insaan Deen Mein Mohtaaj Ho Yani Her Woh Ilm Jis Ki Deen Mein Zarurat Padti Hein, Or In Mein Sab Se Pehle Jis Ilm Ka Sikhna Zaruri Hein Who Ilm-Ul-Aqaid Hey, Key Jin Ki Eteqaad Sey Insaan Musalman Sahi Ul Aqidah Sunni Mazhab Hota Hein Or Bilawajah Inkaar Wa Mukhalifat Se Kafir Ya Bidati Hojata Hey.

Maslan: Allah (Azzawajal) Ki Zaat Wa Sifaat, Risaalat Wa Naboowat, Malaika Wa Jin, Qabr Wa Hashr, Dozakh Wa Jannat Or Takdeer Wagaira Ka Ilm, Or Is Key Baad Mas’ail-E-Namaz Ka Sikhna Zaruri Hey, Yani Namaz Key Faraiz Wa Sharait Or Mufsedaat Ka Ilmm Jin Key Janney Sey Namaz Sahi Tarah Se Ada Ki Jasakey, Jab Ramazan Aye To Masail-E Som(Roze Key Mas’ail) Sikhna Lazim Hey Yani Kin Cheezon Se Roza Fasid Ho Jata Hein, Isi Tarah Agar Sahibey Nisab Hey To Masail-E-Zakat Ka Janna, Sahibey Hasiat Ho To Masail E Hajj Ka Sikhna Or Agar Nikah Karna Chahta Hey To Is Key Mutaliq Mas’ail Ka Janna Or Agar Tajir Hey To Mas’Ail E Baiy Shara Ka Janna To Lazim Wa Zaruri Hey.

Isi Tarah Halal Wa Harram Ka Ilm Sikhna Key Her Musalmaan Ko Iski Hajat Hey Phir Mas’ail -E- Ilm-E-Qalb Ka Janna Yani Faraizey Qalbiya Maslan Tawazo,Ikhlaas, Tawakkal Wagaira. Or In Key Husool Key Tarikon Ka Janna Or Mohremaat-E-Batina Ka Ilm Maslan Takabbur, Riya, Ujb Wa Hasad, Wagairah Or In Sey Bachney Key Asbab Ka Ilm Bhi Her Musalmaan Per Farz Hein, Jis Tarah Bey-Namazi Fasiq Wa Fajir Or Murtakey Kabair Hey Isi Tarah Riyakaar, Gibat Wa Hasad Karney Wala Gunahe Kabira Ka Murtakib Hota Hey.

Durrey Mukhtar Mein Hey-

اعلم أن تعلم العلم یکون فرض عین، وہو بقدر ما یحتاج لدینہ۔جان لیجئے
Ilm Sikhna Or Isey Hasil Karna Farz-E-Ain Hey Or Is Sey Muraad Itni Miqdaar Hey Ki Jis Ki Deen Mein Zarurat Padti Hain.
(Al Durrey Mukhtar, Maqadma, Safah 44, Almaktaba Shamlah)

Raddul Mohtar Mein Hey-

فرض علی کل مکلف ومکلفۃ بعد علم الدین والہدایۃ تعلم علم الوضوء والغسل والصلاۃ والصوم، وعلم الزکاۃ لمن نصاب، والحج لمن وجب علیہ، والبیوع علی التجار لیحترزوا عن الشبہات والمکروہات فی سائر المعاملات.وکذا أہل الحرف، وکل من اشتغل بشء یفرض علیہ علمہ وحکمہ ولیمتنع عن الحرام فیہ ۔
Deeni Ilm Or Hidayat Hasil Karney Key Baad Her Aqil Balig Mard Wa Aurat Per Wuzu,Ghusl Or Namaz Or Zakat Key Masail Sikhna Farz Hey,Or Isi Tarah Masail Zakaat Ka Is Shakhs Ke Leye Janna Jo Sahebey Nisab Hey Or Hajj Key Masail Jis Per Who Wajib Hey,Or Kharred -O-Farokt Key Mas’ail Ka Janna Karobaar Karney Walon Key Ley Taki Who Apnney Tamam Mamlaat Mein Mashkook Or Makroh Kamo Se Bach Jay Yunhi Peshawar Or Her Isa Adami Jo Kisi Kaam Mein Mashghul Ho To Us Per Us Kaam Ka Ilm Rakhna Farz Hey,Ir Isi Ka Hukm Yeh Hein Key Taki Who Is Mamaley Mein Haram Se Bach Jay.
[RaddulMuhtar, Mukadama, Safah44, Al Maktabah Al Shamlah]

Or Isi Mein Hey-

فی تبیین المحارم: لا شک فی فرضیۃ علم الفرائض الخمس وعلم الاخلاص، لان صحۃ العمل موقوفہ علیہ، وعلم الحلال والحرام وعلم الریاء ، لان العابد محروم من ثواب عملہ بالریاء وعلم الحسد والعجب إذ ہما یأکلان العمل کما تأکل النار الحطب، وعلم البیع والشراء والنکاح والطلاق لمن أراد الدخول فی ہذہ الاشیاء ،وعلم الالفاظ المحرمۃ أو المکفرۃ

Is Mein Koi Shak Nhi Key Panjgana Farz Namazon Ki Farziat Ka Janna Or Husool –E- Ikhlas Ka Ilm Rakhna Zaruri He Kunki Her Amal Ki Sehat Is Per Moukoof Hey Unhi Halal Wa Haram Or Riya Ka Ilm Hasil Karna Zaruri Hey Kunkey Abid Riyakaar Apni Riya Kari Ki Wajah Sey Apney Amal Key Ajar O Sawab Sey Mehroom Rehta Hey,Hasad Or Khud Pasandi Ka Ilm Rakhna Zarruri He,Kunki Yeh Dono Insaani Amal Ko Is Tarah Kha Jate Hein Jis Tarah Aag Lakdi Ko ,Khareed O Farokht ,Nikah ,Talaq Wagairah Key Masail Us Shakhs Key Ley Zaruri Hein Ji In Kamon Ko Karna Chahey,Uunhi Haram Or Kufriah Alfaaz Ka Janna Zaruri Hey.
(Al Durrey Mukhtar,Maqadma,Safah 44,Almaktaba Shamlah)

Written By Mufti Haider Ali Qadri

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *