Question:
Kya Fermatein Hein Ulma-e-deen Is Mas,alay Key Barey Mein Key, Gharon Mein Khawateen N’aat Khwani Karti Hein Or In Ki Aawaz Gair Mehramon Tak Jati Hey, Kya Shr’an Khawateen Ka Is Tarah Padhna Jaiz Hey?
Answer:
Aurton Ka Khush Ilhani Sey Itni Aawaz Mein Padhna Key Namehramon Ko In Ki Aawaz Sunai Dey Haram Hey. (Kama Fi Fatawa Razawiyya, Jild : 22, Safah : 242)
Isi Tarah Nawazil Imaam Faqih-bul-layis Mein Hey,
نغمۃ المرأۃعورۃ۔
Yani A’urat Ka Khush Aawaza Kar Key Kuch Padhna A’uart Yani Mahaley Sitr Hey. (Raddul Muhtar Bahawalah Al Nawazul Baab Shroot Al Salat, Jild : 1, Safah : 272)
Kaafi Imaam Abul Barkaat Nasfi Mein Hey
لاتلبی جھرالان صوتھاعورۃ۔
A’urat Buland Aawaz Se Talbeeha (Labaik) Na Padhey Is Leye Key Iski Aawaz Qabeley Sitr Hey.(Raddul Muhtar Bahawalah Al Nawazul Baab Shroot Al Salata, jild : 1, Safah : 272)
Lihaza Aesi Mehfilein Karna Shariat Ke Nazdeek Jayez Nahi.
Fatwa By Mufti Haider Ali Qadri Sahab