Question:
Kya Farmate Hain Ulma e Deen Is Masle Ke Baare Mein Ke Qaza e Umari Ada Karne Ka Sahi Tareeka Kya Hain?
Answer:
Panch Farz Namazon Key Sath Witr Wajib Ki Qaza Bhi Zaruri Hain, Is Tarah Ek Din Mein Kul Bees (20) Rakat Banti Hein, 2 Farz Fajr, 4 Zohar, 4 Asr ,3 Magrib, 4 Esha, 3 Witr. Aur Qaza Mein Yun Niyat Karna Zaruri Hey, Ke Niyat Ki Mein Ne Pehli Fajr Jo Mujh Se Qaza Hui Ya Pehli Zohar Jo Mujh Sey Qaza Hui Is Tarah Har Baar Har Namaz Mein Karen Ke Namaz Ko Neyat Mein Muaiyan Wa Mushkhkhas Karna Zaruri Hey. Jesa Ki Durrey Mukhtar Mein Hey
یعین ظھریوم کذاعلی المعتمدوالاسھل نیت اول ظھرعلیہ اواٰخرظھر۔
Tarjamah:- Motamad Qoul Key Mutabiq Is Baat Ka Tayan Kiya Jay Key Fala Din Ki Zohar Hey,or Sab Se Aasan Yeh He Ki Awwal Zahor Ya Akhir Zohar Ki Neyat Ki Jaye.
( Baab Shurootul Salah, Jild 1, Safah 67 )
Qaza Namaz Ki Kasrat Ki Wajah Sey Agar Yun Bhi Ada Ki Jay To Jaiz Hey Key Ruku Or Sajdah Mein 3 Tasbeehat Ki Jagh Ek Tasbeeh Padhi Jay Or Farzon Ki Teesri (3rd) Or Chohti (4th) Rakat Mein Alhamd Shareef Ki Jagah 3 Baar Subhanallah Padhein Magar Yaad Rahy Yeh Takhfeef Sirf Farzon Ki Teesri Or Chohti Rakat Mein Hey,witr Ki Teeno Rakaton Mein Alhamd Or Surat Dono Ka Padhna Zaruri Hey. Jesa Ki Quduri Mein Hey
یقرأ فی کل رکعۃ من الوترفاتحۃ الکتاب وسورۃ۔
Tarjamah:-witr Ki Her Rakat Mein Surah Fatiha(alhamd Shareef) Or Ek Surat Padhi Jay Gi
(Baab Salah Alwitr)
Or Attahiyat Key Bad Dono Durood Or Dua Ki Jagah Sirf
اللہم صلّ علی محمد و اٰلہ
Keh Kar Salam Pheir Dein Or Witr Mein Allah-o-akbar Padh Kar Dua-e-qunoot Ki Jagah Ek ..ya..teen Baar
ربّ اغفرلی
Padh Lein
(Kama Fe Fatawa Razawiya Baabul Qaza Al Fawa’at, Jild 8, Safah 187)
By Mufti Haider Ali Qadri Sahab
Sir mujhe ye nh samj me ara k ham pahli niyat to is tarah kie k meri pahli fajar ki namaj ki farj kaja but dusri bar kya kahna h niyat mebya har bar ye hi niyat karna h
Plz reply
Apne Sawalat Is Id Per Send Kijiye – Kanzulislam.official@gmail.com