Nida e Ya Rasool ALLAH (Proclaiming)

Question:
Kya Fermatein Hein Ulma-E-Deen Is Mas’alay Key Barey Mein , Kya Sunni Ki Namaz Bad Mazhab Key Pechhye Ho Sakti Hey , Esa Bad Mazhab Jo “Ya Rasool Allah (Sallallahu Alai Hi Wasallam)!’’ Kehne Ko Haram Ya Shirk Kahy , Nabi Paak ( Sallallahu Alai Hi Wasallam ) Ki Nooraneyat Ka Inkaar Kary Or Hayat-E-Aoliya Fil Quboor(Kabar Me Aoliya Key Zinda Hone) Ka Mutlaqan Inkaari Ho…?

Answer:
Nida E Ya Rasool Allah! Kareeb(Near)Wa Baied(Far) Dono Suratoon Mein Jaiz Hey.Jesa Ki Imam Bukhari Ki Aladab Almufrad Mein Hey:-
عن عبدالرحمٰن بن سعد قال خدرت رجل ابن عمر فقال لہ رَجل اذکر احب الناس الیک فقال یا مُحمد
Abdul Rahmaan Bin Saad Bayan Kartey Hein Key Hazrat Ibney Umar Ka Pair Sun (Anesthesia) Pad Gya ,Ek Shakhs Ney Kaha Us Ko Yaad Karein Jo Aap Ko Sab Se Zyada Mahboob Ho Hazrat Ibne Umar Ney Kaha …Ya Rasool Allah (Sallallahu Alai Hi Wasallam)!
(Safah 250 ,Matbua Almatbuatul Saryah Latal Pur).

Isi Tarah Ek Or Wazeh Daleel Ye Hey Kay Nabi Kareem (Sallallahu Alai Hi Wasallam) Ney Ek Nabina Ko Dua Taleem Fermay Jis Mein Yeh Alfaaz Hein:-
اللھم انی اسئلک واتوجہ الیک بمحمدنبی الرحمۃ یامحمدانی قدتوجھت بک الی ربی فی حاجتی ھٰذہ لتقضٰی اللھم فشفعہ فی
Aye Allah ! Mein Tujhi Sey Suwal Karta Hoon Or Teri Taraf Muhammad Nabi-E-Rehmat (Sallallahu Alai Hi Wasallam) Key Wasiley Sey Mutawjeh Hota Hoon, Ya Mohammad (Sallallahu Alai Hi Wasallam)! Mein Aap Key Wasiley Se Apni Is Hajat Mein Apny Rab Ki Taraf Mutawajeh Hota Hoon, Taky Yeh Hajat Puri Ho Aye Allah! Huzoor Ki Shafat Ko Merey Haq Mein Qubool Ferma.
(Sunnan Ibney Maja , Safah 99, Matbua Noor Mohammad Kaarkhana Karachi)

Ala Hazrat Fatawa Razawiya Mein Farmatein Hey Key, Huzoor Rasool Allah(Sallallahu Alai Hi Wasallam) Ko Nida Karney Key Umda Dalial Say ‘’التحیات (Atahiyaat) Hey Jesa Her Namazi Her Namaz Key Do Rakat Per Padhta Hey Or Apne Nabi Kareem(Sallallhu Alai Hi Wasallam) Sey Arz Karta Hey-
السلام علیک ایّھا النبی ورحمۃ اللہ وبرکاتہ
Yani Salam Huzoor Per Aye Nabi Or Allah Ki Rehmat Or Is Ki Barkatein Agar Nida Maaz Allah Shirk Hey To Yeh Ajab Shirk Key Ain Namaz Mein Shareek Wa Dakhil Hey Wala Houla Wala Quwata Illa Billahil Aliyel Azeem Or Yeh Jahilana Mehz Batil Kay Athiyaat Zamanay Aqdas Sey Wesy Hi Chali Ati Hey To Maqsood In Lafzoon Ki Ada Hey Na Kay Nabi(Sallallau Alai Hi Wasallam) Ki Nida .Hasha Wa Kalla Shariyat E Mutahirah Namaz Mein Koi Esa Zikr Nhi Rakha Hey Jis Mein Sirf Zaban Sey Lafz Nikaley Jaien Or Mani Muraad Na Hon.Nahi Nahi Balkey Qat’an(Definitively)Yahi Darkaar Hey –
التحیاتُ للہ و الصلوات
Sey Hamd-E-Ilahi Ka Qasad Rakhy Or
السلام علیک ایّھا النبی و رحمۃ اللہ وبرکاتہ
Sey Ye Iradah Key -Mein Is Waqt Mein Apne Nabi(Sallahu Alai Hi Wasallam) Ko Salam Karta Or Huzoor Sey Bilqasad Arz Kar Rha Hon Key Salam Huzoor Nabi Or Allah Ki Rahmat Or Us Ki Barkatein.
(Jild 29,Safah 566,Maktbah Raza Foundation Jameh Nizamiyah)

Nabi Kareem(Sallahu Alai Hi Wasallam) Bashr Bhi Hein Or Noor Bhi Aap(Sallallahu Alai Hi Wasallam) Ki Nooraniyat Ahdees-E-Mubarka Sey Sabit Hey.Jesa Key Abdul Razzaq Ney Apni Musannaf Mein Hazrat Jabir Bin Abdullah (Radi Allah Tala Anhuma) Sey Rewayat Keya Huzoor (Sallallahu Alai Hi Wasallam)Ney Un Sey Irshad Fermaya-
یا جابر ان اللہ خلق قبل الاشیاء نور نبیک من نورہ
Aye Jabir!Beshaq Allah Ne Tamaam Ashiya Se Pehle Tere Nabi Ka Noor Apne Noor Se Paida Fermaya
(Al Mawahib Ul Laduniyah, Al Maqsad Awal, Al Maktabal Islami Bayroot)

Lihaza Aqa (Sallallahu Alai Hi Wasallam)Ki Nooraniyat Ka Mutlaqan (Absolute) Inkaar (Deny) Gumrahi Hey.Ab Rhi Baat Aoliya Allah Ki Key Aya Who Apni Qabr Mein Hayat Hein Ya Nhi To Beshaq Aoliya Allah Apni Qabro Mein Hayat Hote Hein.Mout Sirf Eik Makan Sey Dosrey Makan Mein Chaly Jane Ka Naam Hey Na Kay Maaz Allah Patthar Ban Jane Ka Naam Mout He,Jesa Key Sharah Asudoor Mein Hey-
قال العلماء الموت لیس بعدم محض ولا فناء صرف وانماھو انقطاع تعلق الروح بالبدن و مفارقۃ وحیلولۃ بینھماوتبدل حال و انتقال من دار الی دار

Ulama Ney Fermaya Mout Ka Yeh Mana Nahi Kay Adami Neyst Wa Naboot Ho Jay Balki Woh To Yahi Ruh(Spirit) Wa Badan(Body) Key Taluq Chutney Or In Mein Hijab Or Judai Ho Janey Or Ek Tarah Ki Halat Badalney Or Ek Ghar Se Doosrey Ghar Chaley Jane Ka Naam Hey .
(Ba Hawala Haliyah, Baab Fadalul Mout)

Imam Abu Yusuf Apni Musnad Mein Hazrat Anus Bin Maliq (Radi Allah Tala Anha) Sey Marwi Ek Hadess Rewayat Kartey Hein-
الانبیاء احیاء فی قبورھم یصلون

Ambiyah (Alayhisalam) Apni Qabro Mein Zinda Hein Or Namaz Ada Kartein Hein.
(Al Khasais Al Akbari 2:281)

Huzoor Safar-E-Mairaj Byan Karte Huy Fermatein Hein Key-
مررت علی موسی و ھو یصلی فی قبرہ
Mein Musa (Alayhisalam) Key Pass Sey Guzra To Aap Apni Qabr Mein Namaz Ada Ferma Rahey They.
(Muslim, 2:268)

Mirkat Shareef Sharah Mashkooh Mein Hey-
لا فرق لھم فی الحالین ولذا قیل اولیاء اللہ لا یموتون و لکن ینتقلون من دار الی دار

Yani Aoliya Ki Dono Halatein Hayat Wa Mamat Mein Asalan Farq Nhi,Is Leye Kaha Gya Hey Key Wo Martey Nhi Balkey Ek Ghar Se Doosrey Ghar Tashreef Le Jatein Hein.
(Kitabul Salat, Baab Al Jumuah Amdadeyah Lahore)

Lihaza Suwal Mazkurah Mein Jin Aqaid Key Moataqid Shakhs Key Mutaliq Puchha Gaya Aysa Shakhs Gumrah Wa Baddeen Hey Or Gumrah Key Pechhy Namaz Ada Karna Jaiz Nhi Jesa Key- Kabiri Mein Hey-
روی محمدعن ابی حنیفۃوابی یوسف رحمھم اللہ ان الصلوۃخلف اھل الھواء لاتجوز۔
Hazrat Imam E Azam Or Imam Yusuf (Radi Allah Anhuma) Sey Imam Mohammad (Radi Allah Anha) Rewayat Kartey Hein Ki Ahley Hawa (Gumraho)Key Pechhy Beshaq Namaz Jaiz Nhi.
(Kabeeri, Safah 48)

By Mufti Haider Ali Qadri

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *