Apne Ko Dusrao Se Chota Aur Kamtar Samjh Kar Dusrao Ki Tazeem Wa Takreem Ke Sath Khatir Wa Madaraat Karni Is Aadat Ko Tawazeh Aur Ankasari Kehte Hai.
Ye Naek Aadat Wo Johar Nayaab Hai Ke ALLAH Tala Jis Ko Is Aadat Ki Taofeeq Ata Farma Deta Hai Goya Is Ko Khair Kaseer Ka Khazana Ata Farmadeta Hai.
Jo Shaks Har Eak Ko Apne Se Behtar Aur Apne Ko Sub Se Kamtar Samjhega Wo Ghaman Aur Takabbur Ki Shaitani Khaslat Se Bacha Rahega Aur Allah Is Ko Dono Jahaan Me Sarbulandi Aur Izzat Wa Azmat Ka Badshah Balke Shahinsha Bana Dega.
Hadees Shareef Me Hai Ke Jo Shaks ALLAH Ki Raza Joi Ke Liye Tawazeh Aur Ankasari Ki Khaslat Ikhtiyar Karega – Allah Tala Is Ko Sar Bulandi Ata Farmayega.
(Ahya Al’Uloom Jild 3, Safa 340, Jannati Zewar 92)