Kisi Ko Gayebana Bura Kehna Ya Peeth Peche Is Ka Koi Ayeb Bayan Karna Yehi Ghibath Hai.
Chunache Hadees Me Hai Ke Huzoor Sallallahu’Alaihi’Wa’Sallam Ne Sahaba Akram Se Farmaya Ke Kiya Tum Log Jante Ho Ke Ghibath Kiya Cheez Hai ?
Sahaba Ne Kaha Ke Allah Aur Is Ke Rasool Zyada Janne Wale Hai, Huzoor Ne Irshad Farmaya Ke Tumhara Apne Bhai Ki In Batao Ko Bayan Karna Jin Ko Wo Na’Pasand Samajhta Hai Yehi Ghibath Hai.
To Sahaba Ne Arz Kiya Ke Ya Rasool’Allah Ye Batayiye Ke Agar Mere Is Deeni Bhai Me Waqai Wo Batein Maujood Ho To Kiya In Batao Ka Zikar Karna Bhi Ghibat Kehlayega –
To Huzoor Alaihis’Salam Ne Farmaya Ke
Agar Is Ke Ander Wo Batein Waqai Ho Jabhi To Tum Is Ki Ghibath Karne Wale Kehlaoge Aur Agar Is Me Wo Batein Na Ho Aur Tum Apni Taraf Se Ghadh Kar Kahoge Jab To Is Per Bohtan Lagane Wale Ho Jaoge Jo Eak Dusra Gunah e Kabeera Hai Jis Ka Karne Wala Jahannum Ka Indhan Banega.
(Mishkaat Baab Hafz Al’Lisaan Safa 412)