Masla – Emamat

•» MAS’ALAH «•

Imam Hone Ka Sub Se Zyadah Haqdaar Wo Shaqs Hai Jo Namaz Wa Taharat Wagairah Ke Ahkaam Zyadah Janne Wala Ho.

Phir Wo Shaks Jo Qirayet Ka Ilm Zyadah Rakhta Ho – Agar Kai Shaks In Batao Me Barabar Ho To Wo Shaks Zyadah Haqdar Hai Jo Zyadah Mutaqqi Ho.

Agar Is Me Bhi Barabar Ho To Zyadah Umar Wala – Phir Jis Ke Akhlaaq Zyadah Ache Ho –
Phir Zyadah Tahajjud Guzaar – Garz Ke Chand Aadmi Barabar Darje Ke Ho To In Me Jo Sharai Haisiyat Se Fauqiyat Rakhta Ho Wahi Zyadah Haqdar Hai. (Durre Mukhtar Jild 1, Safa 373)

Fasiq Maelan – Jaise Sharabi, Zinakaar, Juwari, Sood Khoor, Dhadhi Mundane Wala Ya Kata Kar Eak Musht Se Kam Rakhne Wala – In Logao Ko Imam Banana Gunah Hai Aur In Logao Ke Peche Namaz Makruh Wa Tehrimi Hai – Aur Namz Ko Dohrana Wajib Hai.

(Durre Mukhtar Jild 1, Safa 374)

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *