Huzoor Ki Wafaat Se Ek Roze Khabal

Um Al’Momineen Hazrat Ayesha Siddiqa (Radiallahu Anha) Farmate Hai Ke Is Bimari Ke Dauran Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam Ne Mujh Se Daryaft Kiya, Aye Ayesha! Wo Dinaar Kaha Hai? Hazrat Ayesha Fauran Uthe Aur 8 Dinaar Jo Rakhe Hue The Le Aayein Aur Apne Aaqa Ki Bargah Me Pesh Kardiye.

Huzoor Deenarao Ko Apne Mubarak Hath Me Kuch Dair Ulat Pulat Karte Rahe, Phir Farmaya, Aye Ayesha! Agar May Ye Dinaar Apne Ghar Me Chod Kar Apne Parwardigaar Se Mulaqaat Karu To Mera Parwardigaar Kiya Farmayega Mere Bande Ko Mujh Per Aetmaad Nahi Tha?

Ayesha! In Ko Fauran Masakeen Me Taqseem Kardo – Chunache Aap Ne Allah Tala Ke Habeeb Ke Ghar Me Jo Aakhiri Punji Thi Ise Nikal Kar Masakeen Me Taqseem Kar Diya.

Wo Zaat-e-Aqdas Wa Athar Jis Ko Allah Tala Ne Zameen Ke Saare Khazanao Ki Kunjiya Marhamat Farmadi Thi, Is Ke Ghar Ki Ye Kaifiyat Thi Ke Zindagi Ki Aakhri Raat Me Chirag Me Tail Nahi Tha – Hazrat Siddiqa Bayan Karti Hai Ke May Ne Apne Chirag Apni Eak Padosan Ki Taraf Bheja Aur Kaha Ke Apni Tail Wali Kuch Se Chand Qatre Is Chirag Me Dal Do Take Aaj Ki Raat Guzar Jaye.

(Tareeq Al Khamees, Jild 2, Safa 164 : Seerat-e-Rasool Zia’An Nabi Sallallahu’Alaihi Wa Sallam Jild 4, Safa 807:808)

No Responses

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *