Hazrat Imam Shafai Aur Hazrat Imam Ahmed Bin Hambal Ne Kisi Jageh Tashreef Farma The Ke “HAZRAT HABEEB AJMI” Bhi Ittifak Se Wahan Pahunch Gaye, Inhe Waha Dekh Kar Imam Hambal Ne Kaha Ke May In Se Eak Sawal Karunga Lakin Imam Shafai Ne Manah Karte Hue Farmaya Ke Wasil Billah Logao Se Kiya Sawal Karoge In Ka To Maslak Hi Judagaana Hota Hai,
Lakin Manah Karne Ke Bawajood Inho Ne Ye Sawal Kar Hi Dala Ke Jis Shaks Ki Paanch Namazao Me Se Eak Namaz Qaza Ho Gayi Ho Aur Wo Ye Bhool Gaya Ho Ke Kaunsi Namaz Qaza Hui To Isko Kiya Karna Chahiye,
Hazrat Habeeb Ajmi Ne Farmaya Sub Namazao Ki Qaza Kare Is Ke Liye Ke Wo Khuda Se Gafil Ho Kar Is Qadar Be Adabi Ka Murtakab Kyun Hua, Ye Sun Kar Imam Shafai Ne Kaha Ke May Ne Isi Liye Manah Kiya Tha Ke In Logao Se Koi Sawal Na Karo.
(Tazkiratul Awliya Safa 38)