Hadees:
Riwayat Hai Hazrat Abu Huraira (Radiallahu Anhu) Se Farmate Hai Farmaya Rasool’Allah Sallallahu’Alaihi’Wa’Sallam Ne Islam Ghareebi Se Shuru Hua Aur Jaisa Shuru Hua Tha Waisa Hi Phir Ho Jayega, Gurba’a Ko Khush Khabri Ho.
(Muslim, Miratul Manaji Sharah Mishkaat Al’Masabih, Jild 1, Safa 159)
Tashreeh:
Ghareeb Ke Lafzi Maene Hai “Tanhai Aur Be Kasi”, Isi Liye Musafir Aur Tang Dast Ko Ghareeb Kaha Jata Hai Ke Musafir Safar Me Akela Hota Hai Aur Tang Dast Be’kasi Yaani Islam Ko Pehle Thode Logao Ne Khubool Kiya Aur Aakhri Me Bhi Thode Hi Logao Me Reh Jayega.
Ye Dono Jamatein Badi Mubarak Hai’ Alhumdulillah Thode Musalam Bahutao Per Ghalib Aate Rahe Aur Aate Rahenge. Thoda Sona Bahut Se Lohe Per Aur Thoda Mushk Bahut Si Mathi Per Ghalib Hai.