Question:
Qurbani Kis Per Wajib Hai? Qurbani Ke Wajoob Ke Sharyt.
Answer:
Jis Shakhs Mein Darja Zail Shryat Paye Jaien Gi Us Per Qurabni Wajib Hai,
1. Muslman Hona (Yani Gair Muslim Per Qurbani Wajib Nahi).
2. Muqeem Hona (Yani Koi Shakhs Agerchay Muslman Tu Hai Muger Musafir Hai Tu Us Per Bhi Qurbani Wajib Nahi).
3. Malik E Nisaab Hona (Is Qadr Maaldar Hona Jis Se Sadq E Fitr Wajib Hota Wo Maal E Nisab Murad Nahi Jis Se Zakat Wajib Hoti Hai).
4. Azad Hona (Yani Ager Koi Gulam Hai, Tu Us Per Bhi Qurbani Wajib Nahi).
5. Balig Hona (Is Mein Agerchay Ikhtilaf Hai Muger Fatwa Is Per Hai Ke Na Baligh Per Ya Waldain Per Na Baligh Ke Maal Se Ya Apnay Maal Se Na Baligh Ki Tarf Se Qurbani Wajib Nahi).
Ye Tamam Shrayat Ager 10 Zil Hijah Ke Tuloey Subah Sadiq Se Lay Ker 12 Ke Garoob E Aftab Tak Kisi Bhi Waqt Paye Gien Tu Qurbani Wajib Ho Jiye Gi.
For Example Ager Koi Shakhs Muslman, Malik E Nisab, Azad, Baligh Musafir Tha Muger 10 Zil Hijah Ke Bad Muqeem Ho Gaya Aur Baqi Shryat Pehlay Se Mojood Thein Tu Us Per Qurbani Wajib Ho Jiye Gi.
[ Dur E Mukhtar ]