Matam Karne Se Mana Farmaya With Reference – Kanzul Islam

Hazrat Zainab Bint Hajash (Raziallah Anhu) Ke Bhai Ka Inteqal Ho Gaya. Teen Din Ke Baad Unhone Khushbu Mangwaee Aur Usko Lagaya. Phir Kaha Mujhe Khushbu Ki Zaroorat Nahi Thi Magar Maine“Rasool’Allah (Sallallaho Alaihi Wasallam) Se Suna Ke Jo Aurat Aur Mard Allah Ta’ala Aur Qayamat Par Emaan Rakhta Ho Uske Liye Halaal Nahi Ke Teen Din Se Ziyadah Kisi Mayyat Par Shog Kare’Siwaye Shohar Ke Jiska Sog 4 Mah(Month) 10 Din Hai.” (Bukhari‘Al’janaez Baab Al’shiyaab Al’baid Ul Kafan’Hadees : 1264‘1271′1272′1273′1287)

Agar Mayyat Ko Dekh Kar Rona Aaye Aur Aansu Jaari Hon Toh Mana Nahi, Isliye Ke Yeh Be-Ikhtiyar Rona Hai Jo Jayez Hai.
Hadees : Nabi-e-Kareem (Sallallaho Alaihi Wasallam) Ne Farmaya, “Allah Ta’ala Aankh Ke Rone Rone Aur Dil Ke Pareshan Hone Ki Wajah Se Azaab Nahi Hota Balki Zuban Ke Chillane Aur Wa’waila Karne Se Azaab Hota Hai”. (Bukhari’Al’janez’Baab Al’baka’a Indal Mareeda’Hadees :1304′Wa Muslim’Al’janaez’Baab Al’baka’a Alal May’yati’Hadees :924)

Hadees: Hazrat Abdullah Bin Masood (RadiAllah Anhu) Riwayat Karte Hain Ke RasoolAllah (Sallallaho Alaihi Wasallam) Ne Farmaya,
“Woh Ham Me Se Nahi Hai Jo Rukhsaar Peete’Girebaan Phadhe Aur Jahiliyat Ki Pukaar Pukare”. (Yaani Noha Aur Wa’waila Kare). (Bukhari’Al’janaez‘Baab Lais Mana’min Shqaul’joyub’Hadees :1294′1297′1298′)

Hadees : Hazrat Abu Malik Ashari (RadiAllahu Anhu) Se Rivayat Hai Ki RasoolAallah (Sallallaho Alaihi Wasallam) Ne Farmaya,
“Noha (Matam) Karna Jahiliyat Ka Kaam Hai, Aur Noha Karne Waali Agar Bina Tauba Ke Mar Jaye To Allah Ta’ala Usko Tarkol Ka Libas Aur Dozakh Ke Sholo Ka Kurta Pahnayega”. (Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 1581 Hasan)

Hadees: Jarir Ne Farmaya Ki Sahabi Muawiyah (Radi Allahu Anhu) Ne Apne Khutbe Me Kaha Ki,“Rasool’Aallah (Sallallaho Alaihi Wasallam) Ne Noha Karne Se Mana Farmaya Hai”. (Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 1580 Sahih)
.
Hadees: Umma Atiyyah (Razi Allah Anhu) Se Rivayat Hai Ki,
“Rasool’Allah (Sallallaho Alaihi Wasallam) Ne Hume Noha (Matam) Karne Se Mana Farmaya Hai”. (Sunan Abu Dawud, Vol 2, #1350 Sahih)

Sabab : Huzur (Sallallaho Alahi Wasallam) Ne Noha’Maatam Aur Baen Karna (Aawaz Ke Saath Chilla Kar Rona) Mamnu Yani Mana Farmaya Hai Aur Ba’ase Azaab Hai.

Dua :
Aye ALLAH !
Qayenat Ke Har Musalmano Ko Deen-e-Islaam Ki Samajh Ata Farma Aur Nabi-e-Paak ﷺ (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Sunnaton Par Amal ki Toufik Ata farma
(Aameen Ya Rabbul Aalameen).
.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *