Hadees 1:
Gazwah Badr Sharif Me Musalmano Ne Kuffar Ki Laashen Jama Karke Ek Kuwen Me Paat Di, Huzur (Sallalahu Alaihi Wasalam) Ki Aadat E Karima Thi Ki Jab Kisi Muqam Ko Fateh Karte to Wahan 3 Din Qayaam Farmate, Yahan Se Tashrif Le Jaate Waqt Is Kuwen Par Tashrif Laye, Jisme Kafiro Ki Lashen Padi Thi,Aur Unhe Naam Banaam Awaz Dekar Farmaya, Humne to Paa Liya Jo Humse Hamare Rab Ne Sachcha Waada (Nusrat Ka) Farmaya Tha, Kyun Tumne Bhi Paya Jo Such Wada (Naar Ka) Tumse Tumhare Rab Ne Kiya Tha.’
Ameerul Momineen Faruq E Azam Radiallaho Taala Anho Ne Arz Ki, Ya RASOOLALLAH (Sallalaho Alyhe Wasallam) Ajsadun La Arwaha Feeha‘ Tarjuma: Ya Rasoolallah Kya Huzur Be-jaan Jismo Se Kalaam Farmate Hain?
Farmaya, ‘Ma Antum be asma’a Minhum.’ Tarjuma: Tum Kuch Unse Zyada Nahi Sunte, Magar Unhe Taqat Nahi Ki Mujhe Laut Kar Jawab Dein. (Bukhari, J2, S-566, Baab-Qatl Abi Jehel)
Is Hadees Se Pata Chala Ki Kafir Bhi Marne Ke Baad Sunte Hain,To Fir Momin Kyu Na Sune? Aur fir AULIYA Ki Shan To Raafe Aala Hai. Beshak Wo Bahut Behtar Sunte Hain.
Hadees 2:
Rooh Ek Parind Hai, Aur Jism Pinjrah,Parind Jis Waqt Tak Pinjrah Me Rehta Hai, Iski Parazi Isi Qadr Hai, Jab Pinjrah Se Nikal Jaye, Is Waqt Iski Quwwat-E-Parwaz Dekhiye. (Sharahus Sudur, S-210,Baab-Al Arwahe Mafhoomam)
Is Hadees Se Pata Chala Ki Jism Se Rooh Nikalne Ke Baad Iski Sunne Aur Dekhne Aur Tamam Ikhtiyarat Ki Quwwt Aur Zyada Badh Jati Hai.
SAMAA MOTI KA MASLA:
Wahabi, Sunniyo Ko Quran Ki Ye Aayat Pesh Karte Hain, Beshak Tumhare Sunaye Nahi Sunte Murde,’ (Surah Naml 80)
Ek Aur Aayat Pesh Karte Hain, ‘Aur Tum Nahi Sunane Wale Unhe, Jo Qabro Me Pade Hain. (Surah Fatir 22)
Hadees 3 (Jawab):
Moti Kaun Hai, Ijsam Qabro Me Kaun Hai, Wohi Ijsam, to Fir Sirf Ijsam Hi Ke Sunne Se Inkar Kiya Gaya hai, Na Ki Arwaah Ke (Bukhari,J2,S-567, Baab-Qatl Abi Jehel)
So Ye Aayat Ijsam Per Dalalat Karti Hai, Arwaah Par Nahi, Aur ALLAH Ke Tamam Nek Bande Apni Quwwate Arwah Se Sunte, Dekhte Aur Madad Karte Hain.
Hadees 4:
Khud Hazrat e Ayesha Siddiqa Radiyallaho taala Anho Ka Tarz-E-Amal Sama Moti Ko Sabit Kar Raha Hai, farmati hain,
Jab Huzur Aqdas Sallallaho Alaihe Wasallam Mere Hujre Me Dafn Hue, Mai Baghair Chadar odhe, Be Hijabana Hazir Hoti Aur Kehti, ‘Innama Hua Zauji’
Translation: Mere Shauhar Hi to Hain.
Phir Hazrat E Abu Bakr Siddiq Radiallaho Taala Anho Wahan Dafn Hue, Jab Bhi Mai Baghair Ehtiyat Ke Chali Jati Aur Kehti, Innama Hua Zauji wa Abi’
Translation: Mere Shauhar aur mere Baap hi to hain.
Phir Jab Hazarat e Umar Faruq Raiallaho taala Anho Wahan Dafn Hue to Main Nihayat Ehtiyat Ke Sath Chadar Lipti Hui Jati, Is Tarah Ki Koi Uzu Khula Na Rahe, Kehti, ‘Haya an Min Amara Radiallahu Ta’ala Anhu’
Translation: Umar Se Sharm Karti. (Mishkaat, J1,S-154, Baab-Ziyarate Qubur)
To Agar Arwah Ka Sama Basar Na Manti to Phir ‘Haya Min Umar’ Ke Kya Mayne Hain?
Hadees 5:
“Jab Koi Aisi Qabr Se Guzre Jisey Duniya Me Jaanta Tha Aur Us Par Salaam Karey to Wo Murda Isey Pehchaanta Hai Aur Iske Salaam Ka Jawaab Deta Hai”. (Taarikh Baghdaad , Jild : 6 , Page No : 135, Hadees No : 3175 )
Hadees 6:
Tafseer Ibn-E-Kaseer Me Hai k Mayyat Apni Ziyart Krne Wale Ko Pehchanti Hai Or Khush b Hoti Hai.
Hadees 7:
Hazrat Anas (Radi Allaho Anhu) Se Marwi Hai Huzoor (Sallallaho Aalaehi Wasllm) Ne Farmaya, Jab Bande Ko Us Ki Qabr Me Rakha Jata Hai Or Us K Dost Dafan Karne K Baad Wapas Laut’te Hain to Wo Un K Juton Ki Awaz Sunta Hai. (Mishkat Page 24)
Hadees 8:
Hazarat E Abu Saeed Khaudri Radiallaho Taala Anho Se Riwayt Hai Ki Nabi Alaihesalam Farmate Hain, Jab Bande Janaze Ko Lekar Chalte Hai To Agar Wo Nek Hai To Kehta Hai, Mujhe Jaldi Le Chalo, Aur Agr Wo Bura Hai to Kehta Hai, Mujhe Kahan Liye Jate Ho? (Bukhari, J-1, Kitabul Janaiz, Baab-Qaulil Mayyit)
Is Hadees Se Pata Chala Ki Murda Quwwat-E- Arwah Se Bolta B Hai.
Bad Mazhabo Ki Kitaabo Se Saabiti
Book No. 1:
Ahle Hadeeso Ke Imam Ibn-E-Qayyim Likhta Hai Mayyat ki Ziyart k Liye Koi Shaks Aata Hai To Mayyat Ko Us Ki Aamd Ka Ilm Hota Hai Or Wo Khush bhi Hoti Hai. (Kitab-ur-RoohPage 05)
Book No. 2:
Isi Tarah Anwar Shah Kashmiri Deobandi bhi Likhta Hai k Jab Koi Shaks Mayyat Ko Salam Kehta Hai To Wo Use Salam Ka Jawab Deta Hai Or Agar Dunya Me Wo Us Ko Pehchanta Tha to Us Waqt bhi Pehchan Leta Hai. (Faiz-ul-Bari jild 2 page 467)
NEK BANDO KI QABRO KI BARKAT SE GUNAAHGAR LOGO KO FAIDA
Hadees 9:
Nabi Sallallaho Alaihe Wasallam Ne Farmaya, Tum Apne Murdo Ko, Buzurgo Ke Paas Dafn Karo, Ke Unki Barkat Se In Par Azab Nahi Hota. (Muslim, J2, S-344, Baab-Fazlul Majalisul Zikr)
Hadees 10:
Wo Log Hain Ki Unke Sabab Unka Hamnasheen Bhi Bad Bakht Nahi Hota, Lehaza Hadees Me Farmaya, ‘Adfenu Mautaakum Wasta Qaumin Saaleheen’
Translation: Apne Murdo Ko Neko Ke Darmiyan Dafn Karo. (Kanzul Ummal 20, S-122)
In Tamam Ahadeese Saheeha Se Ye Khoob Achchhi Tarah Wazeh Ho Gaya Ki MURDE APNI
QUWWATE ARWAH SE, SUNTE, DEKHTE AUR MADAD BHI KARTE HAIN, AUR UNKE ZARIYE
DUSRO KO FAIDA BHI MILTA HAI,
Ab Jo Wahabi Log Quran Ki Surah Naml 80 Aur Surah Fatir 22 Ayato Se Apni Marzi Se Hi Matlab Nikalte Hain,
Aur Sunniyo Ko Mushrik Kehte Hain,Wo Batayen Kya Itni Sari Hadeesen, Jhoot farmayi Gayi Hain?