•» HADEES «• (SADQA)
**************************
Hazrat Abu’Zar Radiallahu Anhu Ne Kaha Ke Rasool’Allah Sallallahu’Tala’Alaihi’Wa’Sallam Ne Irshad Farmaya Ke Apne Kisi (Musalman) Bhai Ke Samne (Khushi Se) Tumhara Muskura Dena Ye Bhi Sadqa Hai.
Aur Kisi Ko Achi Baat Ka Hukm Dena Aur Buri Baat Se Manah Karna Ye Bhi Sadqa Hai,
Aur Kisi Bhatke Hue Ko Rasta Bata Dena Ye Bhi Sadqa Hai.
Aur Kisi Andhe Ki Madad Kar Dena Ye Bhi Sadqa Hai,
Aur Raste Se Pathar Aur Kaanta Aur Haddi Hata Dena Ye Bhi Sadqa Hai,
Aur Apne Dhool Me Se Apne Bhai Ke Dhool Me Paani Dal Dena Ye Bhi Sadqa Hai,
Matlab Ye Hai Ke In Sub Kamao Per Sadqe Dene Ka Sawab Milta Hai.
(Mishkaat, Jild 1, Safa 169, Jannati Zewar 235)