•» HADEES (Lao-e-Mehfooz Aur Qur’an-e-Kareem) «•
**************************************
Riwayat Hai Abdullah Bin Amro Se Farmate Hai Farmaya Rasool’Allah Sallallahu’Alaihi’Wa’Sallam Ne Ke “ALLAH” Ne Makhlooq Ki Taqderein Aasman-Wa-Zameen Ki Paydayesh Se 50,000 Baras Pehle Likhi, Farmate Hai Is Ka Arsh Paani Per Tha.
(Muslim, Miratul Manaji Jild 1, Safa 95)
TAFSEER:
Yaani Qalam Ne Lao-e-Mehfooz Per Ba’Hukm-e-ILahi Azal Se Abad Tak Zarra Zarra, Qatra Qatra Likh Diya, Khayal Rahe Ke Ye Tehreer Is Liye Na Thi Ke Rab Ko Bhool Jane
Ka Khatra Tha Balke Is Ka Mansha Farishtao Aur Baaz Mehboob Insanao Ko Is Per Mutlah Karna Tha
(Az’Mirqaat)
Is Se Ye Maloom Hua Ke Allah Tala Ke Baaz Bande Saare Waqiyaat Aalam Per Khabar Rakhte Hai, Warna Tehreer Bekar Jati.
Lao-e-Mehfooz Ne Qur’an-e-Kareem Ko Kitab-e-Mubeen Farmaya Yaani Zahir Karne Wali Kitab, Agar Lao-e-Mehfooz Sub Ki Nigahao Se Chupi Hoti To Mubeen Na Hoti.
Is Se Maloom Hota Hai Ke “Paani” Aasmaan-wa-Zameen Wagaira Se Pehle Paida Hua Arsh Ke Paani Per Hone Ka Ye Matlab Hai, Ke In Dono Ke Bech Me Koi Aad Na Thi Na Ye Ke Paani Per Rakha Hua Tha – Warna Arsh Tamaam Ajsaam Se Bahut Bada Hai.