Hadees – Hazrat-e-Fatima Radi Allahu Anha

•» HADEES «• (HAZRAT-E-FATIMA RADIALLAHU ANHA)
**********************************************************

Ummi Al’Momineen Hazrat Ayesha Siddiqa Radiallahu Anha Se Marwi Hai – Eak Roze Hazrat Fatima (Radiallahu Anha) Tashreef Le Aaye Aap Ki Chaal Huzoor Sarwar-e-Aalam Ki Chaal Se Bilkul Mushabat Rakhti Thi.

Huzoor Ne Dekha To Farmaya – Aye Meri Laqt-e-Jigar Khush’amadeed – Phir Huzoor Ne Aap Ko Apni Daye Janib Bithaya – Phir Bade Raaz Se Sargoshi Ki Aap Rone Lagi – Phir Dobarah Is Tarah Sargoshi Ki To Aap Hasne Laggayi.

Hazrat Ayesha (Radiallahu Anha) Ne Farmaya May Ne Farhat Aur Gham Ko Itna Khareeb Khareeb Kabhi Nahi Dekha. Aap Ne Hazrat Sayyeda Se Is Ki Wajhe Puchi To Aap Ne Farmaya – Ke May Rasool’Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam Ke Raaz Ko Faash Nahi Kar Sakti.

Is Waqiye Ke Kuch Arse Baad Sarkaar-e-Do Aalam Ne Rahlat Farmayi – May Ne Hazrat Sayyeda Se Pucha Ab To Batayye Huzoor Ne Kya Farmaya Tha – Hazrat Sayyeda Ne Bataya Ke Is Rooz Huzoor Ne Mujhe Kaha Ke Pehle Jibrael (Radiallahu Anhu) Mah-e-Ramzaan Me Eak Baar Qur’an Kareem Ka Daur Mere Sath Karte The Is Dafa 2 Dafa Daur Kiya Hai May Dekh Raha Hu Ke Meri Wafaat Ka Waqt Khareeb Aagaya Hai Aur Mere Saare Khandaan Se Sub Se Pehle Tu Mujhe Aa Kar Milegi – Aur May Tumhare Liye Behtareen Payeshro Hu.

“Ye Irshaad Sun Kar May Roo Padi – Dobarah Mujhe Huzoor Ne Farmaya”
“Kya Tum Iss Baat Per Razi Nahi Ho Ke Tum Saare Jahaanao Ke Aurtao Ki Sardaar Banayi Gayi Ho – Ye Sun Kar May Hass Padi”.

(Al’Asabe Jild 4, Safa 367, Seerat Al’Rasool Zia’An Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam, Jild 3, Safa 424, 425)

No Responses

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *