Chehra e Anwar – Hadith

Hazrat Ka’ab Bin Malik Radi Allahu Ta’ala Anhu Ne Farmaya Ki Jab Huzoor Sallallahu Ta’ala Allaihi Wa Sallam Khush Hote The, To Apkaa Chehra E Anwar Is Tarah Chamak Uthta Tha Ki Goya Chand Ka Ek Tukda Hai!aur Ham Log Isi Kaifiyat Se Huzoor Sallallahu Ta’ala Allaihi Wa Sallam Ki Shadmani Wa Musr’rat Ki Pahchaan Lete The!

[ Bukhari Jild Safaa 502-siratul Mustafa Baab 17 Page No 452 ]

•*´¨`*•.¸¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¨`*•.¸¸.•

Ya Rasool Allah Sallallahu Ta’ala Alaihi Wa Sallam:
Aap Jaisa Haseen O Jameel Na Meri Aankh Ne Dekha, Na Kisi Maa Ne Jana.
(hazrat E Hassan Bin Saabit Radiy Allahu Ta’ala Anhu)

•*´¨`*•.¸¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¨`*•.¸¸.•

Tumsaa To Haseen Aankh Ne Dekha Nahin Koi
Ye Shaan-e-lataafat Hai Ke Saaya Nahin Koi
Ay Zarf-e-nazar Dekh Magar Dekh Adab Se
Sarkaar Ka Jalwa Hai Tamasha Nahin Koi

Sallallahu Ta’ala Allaihi Wa Sallam!

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *