•» BEWAH AURTAO KA NIKAH «•
Kuch Aisi Rasam’en Bhi Musalman Mein Raaij Hai Ke Bewah Aurat Ka Nikah Ko Bura Aur Aar Samjhte Hai,
Balke Is Ko Aeb Samajhne Me Kufr Ka Khauf Hai Kyunke Shariyat Ke Kisi Hukm Ko Aeb Samajhna Aur Is Ke Karne Wale Ko Zaleel Janna Kufr Hai.
Aur Hadees Shareef Me hai Ke Jo Koi Kisi Choodi Hui Aur Murdah Sunnat Ko Zindah Aur Jaari Kare Is Ko 100 Shaheedao Ka Sawab Milega.
Allah Tala Ne Qur’an Majeed Me Irshaad Farmaya Hai :
Aur Nikah Kardo Apnao Me In Ka Jo Be Nikah Hoon Aur Apne Layeq Ghulamao Aur Kaneezao Ka. (Sureh Al’Noor)
Aur Huzoor Akram Sallallahu Alaihi’Wa’Sallam Ne Irshad Farmaya Ke Yaani Meri Ummat Me Fasaad Phail Jane Ke Waqt Jo Shaks Musibati Ke Waqt Meri Sunnat Per Amal Kare Is Ko 100 Shaheed’dao Ka Sawab Milega.
(Mishkaat Jild 1, Safa 30 Asah’Al’Matabeh, Jannati Zewar 304, 305)