Eak Martabe Dauran Waaz Hajjaj Bin Yousuf Barhana Shamsheer Apni Fauj Ke Hamrah Waha
Pahuncha Jaha HASAN BASRI (Rehmatullahi Alaihi) Waaz Farma Rahe The – Isi Mehfil Me Eak Buzurg Ne Apne Dil Me Ye Khayal Kiya Ke Aaj HASAN BASRI (Rehmatullahi Alaihi) Ka Imtihaan Hai Ke Wo Tazeem Ke Liye Khade Hote Hai Ya Waaz Me Mashgool Rehte Hai.
Chunache Aap Ne Hajjaj Ki Umeed Per Koi Tawajjo Nahi Ki Aur Apne Waaz Me Mashgool Rahe – Chunache Is Buzurg Ne Ye Tasleem Kar Liye Ke Waqai Aap Apni Khaslatao Ke Aetibaar Se Ism Ba’Mumayya Hai, Kyunke Ahkam Khuda Wandi Bayan Karte Waqt Aap Kisi Ki Parwah Nahi Karte The.
Ikhtitam Waaz Ke Baad Hajjaj Ne Dast Bosi Karte Hue Logao Se Kaha Ke Agar Tum Mard-e-Khuda Se Milna Chahte Ho To Hassan Basri (Rehmatullahi Alaihi) Ko Dekh Lo.
(Tazkiratul Awliya Safa 19)