Shaan e Nabi (Sallalahu Alaihi Wsalam) : Apke Kad E Mubarak Saya Na Tha !
Haqim Tirmizi ( Mutawaffa 255 Hijri ) Ne Apni Kitab ” Nawaadirul Uloom ” Me Hazrate Zakwaan Tabeyi Se Ye Hadith Naql Ki Hai Ki Soraj Ki Dhoop Aur Chand Me Rasool Allah Sallallahu Ta’ala Allaihi Wa Sallam Ka Saya Nahi Padta Tha. Imam Ibn E Saba’a Ka Qaul Hai Ki Ye Apke Khasayis Me Se Hai Ki Apka Saya Zameen Per Nahi Padta Tha . Aur Aap Noor The Isliye Jab Aap Dhoop Ya Chandni Me Chalte To Apka Saya Nazar Na Ata Tha. Aur Baaz Ka Qaul Hai Ki Iski Shahid Wa Hadis Hai Jisme Apki Is Dua Ka Ziqr
Hai Ki Apne Ye Dua Magi Ki Khudawand !tu Mere Tamam A’aaza Ko Noor Bana De ! Aur Aapne Apni Is Dua Ko Is Qaul Per Khatam Ki :-
” Waj-alni Nora “yani Ya Allah Tu Mujh Ko Sarapa Noor Bana De! Zahir Hai Ki Jab Aap Sarapa Noor The To Fir Apka Saya Kaha Se Padta?
Isi Tarah Abdullah Bin Mubarak Aur Ibnul Jaozi Ne Bhi Hazrat E Abdullah Bin Abbas Radi Allahu Ta’ala Anhuma Se Riwayat Ki Hai Ki Huzoor Sallallahu Ta’ala Allaihi Wa Sallam Ka Saya Na Tha!
[ Zurqani, Jild : 5, Safa :249 ]
*************************
Tumsa To Haseen Ankh Ne, Dekha Nahi Koi
Ye Shan E Latafat Hai, Ki Saya Nahi Koi.
A Zarfenazar Deikh, Magar Deikh Adab Se
Sarkar Ka Jalwa Hai, Tamasha Nahi Koi.
Jaise Mere Sarkar Hai Aisa Nahi Koi
*************************
Sallallahu Ta’ala Allaihi Wa Sallam
*************************