•» ZIDD «•

•» ZIDD «•

Apni Kisi Baat Me Is Tarah Ad Jana Ke Koi Lakh Samjhaye Magar Kisi Ki Baat Aur Sifarish Khubul Na Kare – Is Buri Khaslat Ka Naam “ضد” Zidd Hai.

Ye Is Khadar Kharab Aur Manhoos Aadat Hai Ke Aadmi Ki Duniya Wa Aakhirat Ko Tabah Barbaad Kar Dalti Hai. Aise Aadmi Ko Duniya Me Sub Loog “Ziddi” Aur “Hatt Dharam” Kehne Lagte Hai.

Yehi Wo Khabeez Aadat Thi Jis Ne Abu Jahal Ko Jahannum Me Dhakel Diya – Ke Hamare Payghambar Sallallahu’Alaihi’Wa’Sallam Aur Mominao Ne Is Ko Lakho Martabe Samjhaya – Aur Is Ne Shaq Al’Qamar Aur Kankariyao Ke Kalime Padhne Ke Mojizaat Bhi Dekh Liye – Magar Phir Bhi Apni Zidd Per Ada Raha – Aur Emaan Na Laya.

Musalman Ki Jayez Sifarish’shao Ko Khubul Kar Ke Apni Raye Aur Apni Baat Ko Chod De – Aur Haq Zahir Ho Jane Ke Baad Hargiz Hargiz Apni Raye Aur Apni Baat Per Zid Karke Ada Na Rahe.

(Jannati Zewar, 89)

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *