•» KUFFAR-E-MAKKAH KI PESHAN’GOI «•

Mukhtalib Aimma Hadees Imam Muslim, Nisai, Imam Ahmed Ne Muta’addad Sahaba Akram Se Ye Riwayat Naqal Ki Hai Ke Jung-e-Badr Se Eak Roz Qabal Sarkaar-e-Do Aalam Sallallahu Alaihi Wa Sallam Ne Maydan-e-Jung Me Moaene Farmaya.

Huzoor Jab Guzarte To Farmate.

“Agar Allah Ne Chaha To Kal Is Jageh Fulan Ki Lash Giri Padi Hogi – Agar Allah Ne Chaha To Kal Is Jageh Fulan Ki Lash Giri Padi Hogi”

Quraish Ke Raeesao Ke Naam Le Le Kar Bataya Ke Is Jage Kal Fulan Ki Lash Giri Hogi – Jung Ke Baad Musalmanao Ne Jab In Murdarao Ka Jaeza Liya To Har Eak Ko Waha Hi Gira Hua Paya – Jaha Is Ke Bare Me Nabi Mukarram Ne Farmaya Tha.

“Hazrat Umar-e-Farooq Radiallahu Anhu Ne Farmaya Mujhe Is Zaat Ki Qasam Jis Ne Mere Nabi Ko Haq Ke Sath Maboos Farmaya Wo In Hudood Se Zara Aage Peche Na The Jahaan Huzoor Ne In Ke Bare Me Nishan’Dehi Farmai Thi.

(Sabal Al’Hada Jild 4, Safa 84, Seerat Al’Rasool Zia’An Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam, Jild 3, Safa 363)

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *