•» Hadees «• (Shaheedao Ka Paygham)
Nabi Kareem Sallallahu’Alaihi’Wa’Sallam Ne Farmaya Jab Tumhare Bhayyao Ne Maydan-e-Ouhd Me Shahadat Pai To “ALLAH” Tala Ne In Ki Ruhao Ko Sabz Parindao Ke Ander Rakh Diya Jo Jannat Ki Nehrao Per Siyahat Ke Liye Aate Hai Aur Jannat Ke Baaghat Se Phal Khate Hai,
Phir Soone Ki Inn Khandeelao Me Chale Jate Hai Jo Arsh-e-Aala Ke Sath Aawizaan Hai – Jab Wo Apne Khane Peene Ke Latafat Mehsoos Karte Hai Aur Apni Khwab’gahao Ki Rahat Aur Naram Wa Gadaaz Hone Se Lutf’andoze Hote Hai To Kehte Hai Ke Kaash!!!
Hamare Bhai Bhi Jante Ke Allah Tala Ne Hame Kin Naematao Se Mala Maal Kar Diya Hai Take Wo Jihad Se Dast Bardar Na Ho Aur Rah-e-Haq Me Jihad Karne Pehluti Na Karne Lage,
Inn Ki Is Arzu Ko Sunn Kar Allah Tala Ne Farmaya – May Tumhari Taraf Se Ye Payghaam Pahuncha’deta Hu – Chunache “ALLAH TALA” Ne Ye Ayat Nazil Farmai.
“ولا تحسبن الّذين” (Al’Aayah) “Aur Hargiz Khayal Na Karo Ke Wo Jo Qatal Kiye Gaye Hai Allah Ki Rah Me Wo Murda Hai Balke Wo Zindah Hai Apne Rab Ke Paas Aur Rizq Diye Jate hai – Shaad Hai In Naematao Se Jo Inayat Farmaya Hai Inhe Allah Ne Apne Fazl Wa Karam Se Aur Khush Ho Rahe Hai Bas’bab In Logao Ke Jo Abhi Tak Nahi Aa Mile Inn Se Inn Ke Peche Rehjane Walao Se – Ke Nahi Hai Koi Khauf Inn Per Aur Na Wo Ghamgheen Honge.
(Rawih Tirmizi, Hasne, Muslim, Ibne Maja, Ibne Khazemi Wa Abu’Dawood Fi Sahihiyah, Seerat Al’Rasool Zia’An Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam, Jild 3, Safa 553)