Taburukat E Nabi Akram Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam

Mas’ala :- Kya Fermatein Hein Ulma-e-deen Is Mas’alay Key Barey Mein Key, Baaz Jagah Naat Wa Waaz Ki Mahfil Mein Aka (sallalahoalihiwasalam) Key Moey Mubark Ki Zyarat Karwai Jati Hey In Ki Kya Hakikat Hey?

Al Jawab:
Nabi Kareem (sallalahoalihiwasalam) Key Asaar Wa Taburukat Ki Tazeem Musalmaan Ka Farz-e-azeem Hey In Asar Sey Taburuk Lene Zamanay Sahaba Kiram (ridwan Allaho Anhum) Se Aaj Tak Musalmano Mein Raij Hey Or Ba Ijm’a Musalmeen Yeh Mamool Mustahab Wa Mehboob Hey,bakasrat Ahadees Sahih Inki Afzaliat Per Dal Hey.
Sahi Muslim Shareef Mein Asma Bintay Abu Bkr Siddique Sey Marwi Hey-
فَأَخْرَجَتْ إِلَیَّ جُبَّۃَ طَیَالِسَۃٍ کِسْرَوَانِیَّۃٍ لَہَا لِبْنَۃُ دِیبَاجٍ وَفَرْجَیْہَا مَکْفُوفَیْنِ بِالدِّیبَاجِ فَقَالَتْ ہَذِہِ کَانَتْ عِنْدَ عَاءِشَۃَ حَتَّی قُبِضَتْ فَلَمَّا قُبِضَتْ قَبَضْتُہَا وَکَانَ النَّبِیُّ صَلَّی اللَّہُ عَلَیْہِ وَسَلَّمَ یَلْبَسُہَا فَنَحْنُ نَغْسِلُہَا لِلْمَرْضَی یُسْتَشْفَی بِہَا۔

Yani Unhoney Ek Jhubba Kasarwani Sakht Nikala Is Ki Plate Reshmi Thi Or Dono Chako Per Resham Ka Kaam Tha Or Kaha Key Yeh Rasool Allah(sallalahoalihiwasalam)ka Jhubba Hey Ummul Momeneen Siddiqa Key Paas Tha Un Key Intekaal Key Baad Mein Ney Ley Liya Nabi (sallalahoalihiwasalam) Isey Pehna Kartey Pas Hum Isey Dho Dho Kar Mareezon Ko Pilatey Or Is Sey Shifa Chahtey Hein. (Sahih Muslim,baab Al Libaas Wal Zeenah,al Maktabah Al Shamlah)

Sahi Bukhhari Mein Usmaan Bin Abdullah Bin Mohab Sey Marwi Hey,
قال دخلت علی ام سلمۃفاخرجت الینا شعرا من شعرالنبی(صلی اللہ علیہ وسلم)۔
Mein Hazrat Umme Salmah (radi Allah Anha) Key Khidmat Mein Hazir Hua Unho Ney Huzoor-e-akdas (sallalahoalihiwasalam) Key Moey Mubarak Ki Hamein Zyarat Karwai (sahih Bukhari,kitab Al Libaas,baab Yazikr Fi Al Sheyab Al Maktabah Al Shamlah)

Lihaza Mahil Naat Mein Wa Waaz Mein In Tabarukat Ki Zyarat Karna Or Karwana Mustahab Amal Hey Or Ulamah Ikram Ney Yaha Tak Tasreeh Fermaya Ki In Taburukaat Key Leye Kisi Sanad Ki Bhi Hajat Nhi Balki Her Who Cheez Jo Aka (sallalahoalihiwasallam) Key Naam-e-akdas Sey Mashhoor Ho Iski Tazeem Sha-irey Deen Sey Hey.

Shifa Shareef Mein Hey,
من اعظامہ (صلی اللہ علیہ وسلم)اعظام جمیع اسبابہ ومالمسہ اوعرف بہ(صلی اللہ علیہ وسلم)۔
Yani Rasool Allah (sallalahoalihiwasallam) Ki Tazeem Mein Sey Hey In Tamaam Ashiya Ki Tazeem Hey Jis Ko Nabi (sallalahoalihiwasallam) Sey Kuchh Alkah Ho Or Jisey Nabi(sallalahoalihiwasallam) Ney Chhua Ho ..ya..jo Huzoor (sallalahoalihiwasallam) Key Naam-e-pak Sey Mashhoor Ho. (Kitab Al Shifa, Fasl Wa Min Aa’zamah)

Fatawa Razawiyah Mein Ala Hazrat Fermatey Hein.
Aesi Jagah Saboot-e-yaqini.. ya.. sanad-e-muhadisana Ki Aslan Koi Hajat Nahi Is Ki Tahkeek Wa Tazqeeh Key Pechhy Padna Or Begair Is Key Tazeem Wa Takreeb Sey Baaz Rehna Sakht Mehroomi Kam Nasibi Hey Ai’ma Deen Ney Sirf Huzoor Akdas (sallalahoalihiwasalam) Key Naam Sey Is Shay Ka Maroof Hona Kafi Samjha Hey. (Jild 22, Safah 412)

Fatwa By Mufti Haider Ali Qadri Sahab

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *