Shabeena

Question:
Kya Fermatein Hein Ulma-E-Deen Is Mas,Alay Key Barey Mein K Masjid Mein Shab-E-Barat Or Shab -E-Qadr Mein Shabeenah Padhney Ki Shar’ai Hasiat Kya Hey, Jabke Ek Taraf Log Nawafil Padh Rahe Hote Hein Or Dusri Janib Buland Awaz Mein Quran Pak Padha Jarha Hota Hey?

Answer:
Shabeenah Jaiz Or Durust Hey Bashart Ye Kay Itni Jaldi Na Padha Jay Ki Huroof-E- Quran Sahi Ada Na Ho,Hamesha Se Saaleh(Years) Musalmano Ka Dastoor Hey Kabhi Ek Raat Mein,Kabhi Do Or Kabhi Teen Raaton Mein Quran Pak Khatam Kiya Kartein Hein. Imam-Ul-Aima Syedna Imam-E-Azam Radi Allah Tala Anho Ney Mukammal Tees Baras Her Raat Ek Rakat Mein Quran Majeed Khatm Kiya Hey. Jesa Kay Raddul Muhtar Mein Hey:
قَالَ الْحَافِظُ الذَّہَبِیُّ : قَدْ تَوَاتَرَ قِیَامُہُ بِاللَّیْلِ وَتَہَجُّدُہُ وَتَعَبُّدُہُ ، أَیْ وَمِنْ ثَمَّ کَانَ یُسَمَّی الْوَتَدَ لِکَثْرَۃِ قِیَامِہِ بِاللَّیْلِ بَلْ أَحْیَاہُ بِقِرَاءَ ۃِ الْقُرْآنِ فِی رَکْعَۃٍ ثَلَاثِینَ سَنَۃً ۔
Hafiz Zahbi Ney Fermaya Aap (Imam-E-Azam) Kyam E Lail, Tahajut Or T’abad Tawatar Key Sath Manqool Hey Yahi Wajah Hey Kay Aap Ko Wad(Keyl) Kaha Jata Kiyon Kay Aap Key Kayam-E-Lail Mein Kasrat Thi Balke Aap Tees Saal Tak Raat Ko Ek Rakat Mein Purey Quran Ki Tilawat Kartey.
( Mukadmah Almaktabatul Shaamaltah )

Aor Rahi Baat Un Logon Ki Jo Douraney Shabeenah Nawafil Ada Kartein Hein To Unke Nawafil Ada Karney Mein Koi Harj Nhi Or Na Un Per Lazim Hey Kay Tilawat Quran Sma’at Karey Kiyon Kay Sam’ae Qiraat Farz-E-Kifaya Hey,Jesa Ki Raddul Muhtar Mein Shar’ah Muniha Key Hawaley Se Hey :
وَفِی شَرْحِ الْمُنْیَۃِ وَالْأَصْلُ أَنَّ الِاسْتِمَاعَ لِلْقُرْآنِ فَرْضُ کِفَایَۃ۔

( Baab Saftahl Salat ,Fsl Fe Qir,Aat ,Al Maktabtul Shaamalah )

Lehaza Douraney Shabeenah Nawafil Ki Adaygi Jaiz Wa Durust Hey Kay Jab Chand Afraad Sam’aat E Quran Kar Rahein Hon To Baki Key Zimmey Se Farz Saqit Ho Jayga.
By Mufti Haider Ali Qadari

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *