Namaz'on Ka Kaffara

Question:
Kia Farmate Hain Ulama E Deen Iss Masle Kay Bary Me Kay, Baaz Loog Ramzan Kay Last Friday Ko Mil Kar Chand Namazy Aada Karty Hain Aur Ye Samjhty Hain Kay Iss Tarha Un Ki Tamam Sadiqa Qaza Namazain Aada Ho Jain Gi, Kia Aaisa Karne Se Waqai Guzishta Tamam Salon Ki Qaza Namazain Aada Ho Jati Hain? Ya Phir Ye Nazriya Ghalt O Batil Hai?

Answer:
Shariat E Islamiya Me Iss Nazriye Ki Koi Gunjaish Nahi, Aur Qaza Namazon Ki Aadaigi Kay Kaffary Ka Ye Tariqa Na Jaiz Aur Haram Hai, Balky Nabi Pak (Sallallahu Alai Hi Wasallam) Ka Farman Hai, Jo Shaksh Namaz Bhool Gaya To Jub Ussy Yaad Aaye To Ussy Aada Kary.
[Imam, Ahmad, Muslim, Bukhari, Tirmizi Aur Nisaai Aur Digar Muhaddiseen Ne Iss Hadees Ko Hazrat E Anas Se Riwayat Kia Hai]

Lihaza Mazkora Hadees Se Ye Baat Bilkul Wazeh Ho Jati Hai, Kay Qaza Namaz Ka Kaffara Siwaye Uss Namaz Ko Aada Karny Kay Kuch Nahi. Ab Agr Koi Ramzan Kay Aakhri Friday Ya Kisi Aur Din Ye Samjh Kar Chand Namazain Aada Kary Kay Un Namazon Ki Waja Se Tamam Sabiqa Qaza Namazain Muaaf Ho Jain Gi Ye Soch Nabi E Pak(Sallallahu Alai Hi Wasallam) Kay Farman Hi Kay Mukhalif Hai.

Ab Hum Aap Ki Bargah Me Uss Batil Aur Jhoti Riwayat Ko Bayan Karty Hain Jis Ki Waja Se Aawam Ka Ye Jahilana Nazriya Bana Hai, Aur Phr Ye Bi Bayan Karen Gay Kay Hamare Muhaddiseen Ne Uss Riwayat Kay Bary Me Kia Farmaya Hai?
Riwayat Ye Bayan Ki Jati Hai Kay Jis Ne Ramzan Kay Aakhri Jumua Me Aik Faraz Namaz Aada Kar Li Uss Sy Uss Ki Sattar Saal Ki Namazon Ka Kaffara Ho Jata Hai. Iss Riwayat Kay Bary Me Islam Kay Bohat Bary Muhaddis Allama Ali Qari Irshad Farmaty Hain,
( باطل قطعا لانہ مناقض للاجماع علی ان شیأ من العبادات لاتقوم مقام فائتۃ سنوات )

Tarjama:
Yaqini Tor Par Ye Riwayat Batil (Jhoti) Hai Kay Iss Me Ijmaa Ki Mukhalifat Hai, Kiyon Kay Ibadaat Me Sy Koi Shai, Sabiqa Saalon Ki Fot Shuda Ibadat Kay Qaim Maqam Nahi Ho Sakti.
(Book, Asraar Ul Maodoa Fil Akhbaaril Maodoa)

Issi Tarha Sharah Zarqani Me Hai:

(اقبح من ذلک مااعتید فی بعض البلاد من صلوٰۃ الخمس فی ھذہ الجمعۃ عقب صلٰوتھا زاعمین انھا تکفر صلٰوۃ العام اوالعمر المتروکۃ و ذلک حرام لوجوہ لا تخفی )
Tarjama: Iss Se Bi Bad Tar Tariqa Wo Hai Jo Baaz Shehron Me Ijaad Kar Lia Gaya Hai, Kay Jumua Kay Baad 5 Namaz Iss Guman Se Aada Kar Li Jain Kay Iss Se Saal Ya Sabiqa Tamam Umar Ki Namazon Ka Kaffara Hai, Aur Amal Aaisi Wujooh Ki Bina Par Haram Hai Jo Bilkul Wazeh Hai.
(Book, Sharah Zarqani)

Ab Hum Imam Ahmad Raza Khan Ka Iss Mas,Aly Kay Bary Me Moqif Bayan Karty Hain,
Aap Farmaty Hain,
(فوت شدہ نمازوں کے کفارہ کے طور پر یہ جو طریقہ ( قضائے عمری) ایجاد کرلیا گیا ہے یہ بد ترین بدعت ہے اس بارے میں جو روایت ہے وہ موضوع ( گھڑی ہوئی) ہے یہ عمل سخت ممنوع ہے ، ایسی نیت و اعتقاد باطل و مردود، اس جہالت قبیحہ اور واضح گمراہی کے بطلان پر تمام مسلمانوں کا اتفاق ہے ) (Book, Fatwa Razaviya, Jild No:8, Bab Qaza Ul Fawait)

Imam Ahmad Raza Khan Kay Farman Ka Khulasa Ye Hai Kay, Fot Shuda Namazon Ki Aadaigi Ka Jo Tariqa Iss Tarha Raij Kia Gaya Hai, Ye Bid,At Aur Haram Hai, Aur Iss Bary Me Jo Riwayat Bayan Ki Jati Hai Wo Jhoti Hai, Aur Aaisy Tariqy Kay Na Jaiz Aur Haram Hony Par Tamam Musalmanon Ka Ittifaaq Hai, Lihaza Mazkora Hawala Jaat Se Ye Baat Bilkul Wazeh Ho Jati Hai, Kay Jo Log Iss Kaam Me Mubtila Hai Wo Zarur Haram Kaam Kar Rahe Hain, Aur Un Par Lazim Hai Kay Apni Sabiqa Tamam Qaza Namazon Ka Hisab Laga Kar Mukammal Tor Par Un Ko Aada Kia Jaye.
Written By Mufti Haider Ali Qadri

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *