Maher, Mangni Aur Rukhsati

Question:
(1) Nikah Mein Aurat Ki Marzi Key Khilaf Meher Mukarrar Karna Or Mard Ka Apni Mali Hasiat Key Mukabley Mein Kam Meher Mukarrar Karna Indal Shar’a Jaiz Hey?
(2) Mangni Ke Baad Nikah Mein Or Khas Tor Per Nikah Key Baad Mard Key Janib Sey Rukhsati Mein Kai Salon Ki Takheer Karna Jis Sey Us Ki Mankuha Ko Takleef Ho Indal Sharah Jaiz Hey?
(3) Rukhsati Sey Qabl Mard Key Zimmey Apni Mankuha Ko Ikhraajat Dena Lazim Hey?

Answer:
(1) Meher Aurton Ka Haq Hey Lihaza Un Ki Marzi Key Khilaf Mukarar Karna Jaiz Nahi .

Quran Pak Ki Surah Nisa Mein Irshad Hua-

فمااستمتعتم بہ منھن فاتوھنّ اُجورھنّ فریضۃ

Jin Aurton Ko Nikah Mein Lana Chaho Inke Bandhy Huy Mehar Unhey Dey Do.
(ayat 24)

Or Rahi Baat Mard Key Janib Se Mehar Ko Kam Mukarrar Karna Ki To Mard Chahy Kitna Bhi Maaldaar Kyu Na Ho Usey Apni Mali Hasiat Se Kam Meher Mukarrar Karna Jaiz Hey,bashartey Ki Us Meher Ki Mikdar 10 Dirham Se Kam Na Ho, Ki Shariat Me Mehar Ki Aql Mekdar Das Dirham Hey Or Zyada Ki Koi Qaid Nahi. Aqa Kareem Sallallahu Alai Hi Wasallam Ney Fermaya-

لا مہر اقلّ من عشرۃ

Yani Das Dirham Se Kam Mehar Nahi
(al Hidayah ,baab Al Mahar)

Fatawa Alamgiri Mein Hey-

اقل المھرعشرۃ دراھم

Yani Kam Se Kam Mahar Das Dirham Hey
(jild 1 ,safah 283)

Or Mojuda Zamaney Key Etebar Sey Mahar Ki Aqal Mikdar 2 Tolay Sadey Saat Masha Chandi Banti Hey Ya Iski Kimat.


(2) Bila Wajah Sharan Mard Key Leye Jaiz Nahi Key Mankuha Ki Ruksati Mein Takheer Kary Key Jab Aurat Ki Janib Sey Apney Shohar Key Pass Rehna Ka Mutalba Hey,to Mard Per Lazim Hey Key Isey Apney Sath Rakhy. Fermaney Khuda Hey-
واسکنوھن من حیث سکنتم۔

Aurton Ko Wahan Therao Jahan Tum Khud Thehro.
(Para : 28, Al Talaq, Ayat : 6)

Or Sath Hi Yeh Hukm Hey Ki In Ki Takleef Na Pohnchay Na In Per Tangi Karo. Fermaney Bari Ta’ala Hey-

ولاتضاروھن لتنضیقواعلیھن

Inhey Zarar Na Pohchao Key Tum In Per Tangi Karo.
(Para 28, Al Talaq, Ayat 6)

Or Isi Tarah Mangani Key Baad Bila Wajah Shar’ai Takheer Karna Bhi Gair Munasib Hey,key Ladki Key Ghar Walon Per Lazim Hey Key Jab Kafu Pain To Nikah Mein Jaldi Karein.

Aqa Sallalahoalihiwasallam Ney Hazrat Ali Radi Allah Anho Sey Fermaya –
یا علی!لاتؤخرثلثۃ الصلٰوۃ اذاحانت والجنازۃ اذاحضرت والایم اذاوجدت لھاکفوا

Aye Ali! Teen Cheezon Mein Takheer Na Karo Namaz Mein Jab Waqt Hojay,janazey Mein Jab Hazir Ho Jay Or Gair Shadi Shudah Ladki Key Nikah Mein ,jab Isk A Kafu Mil Jay.
(Al Sunnan Al Akbari Al Beyhki Bab Al Aytabarul Kaffa , Jild : 7, Safah-133)

Or Agar Takheer Ladkey Walon Ki Taraf Sey Ho To Yeh Bhi Bila Wajah Sharai Gair Munasib Hey,key Bukhari Or Muslim Ki Hadees Mein Hey- Aqa Sallalahalihiwassalam Ney Fermaya-
یامعشرالشباب من استطاع منکم الباء فلیتزوج
Yani Aye Giroh! Jawanan Tum Mein Sey Jo Mahar Wa Nikah Per Qudrat Ho To Zaroor Nikah Kary.
(mutafiq Alayh,kama Fi Fatawa Amjadiya,kitabul Nikah,jild 3 ,safah 15)

(3) Mardon Per Jouza Key Akhrajaat Rukhsati Key Baad Wajib Hongey,jesa Ki Waqaarul Fatawi Mein Hey-
Naan-o- Nafka Rukhsati Key Baad Wajib Hota Hey,jab Tak Rukhsati Na Ho Naan-o-nafkashohar Per Wajib Nhi Hey
(kitabul Huqooq,jild 3,safah 249)

By Mufti Haider Ali Qadri Sahab

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *