Auliya ALLAH (Allah's Companions)

Question:
Auliya ALLAH Apni Qabron Mein Hayat Hain Ya Nahi ?

Answer:
Beshak ! Auliya Allah Apni Qabro Mein Hayat Hote Hein. Mout Sirf Eik Makan Sey Dosrey Makan Mein Chaly Jane Ka Naam Hey Na Kay Maaz Allah Patthar Ban Jane Ka Naam Mout He, Jesa Key Sharah Asudoor Mein Hey-
قال العلماء الموت لیس بعدم محض ولا فناء صرف وانماھو انقطاع تعلق الروح بالبدن و مفارقۃ وحیلولۃ بینھماوتبدل حال و انتقال من دار الی دار
Ulama Ney Fermaya Mout Ka Yeh Mana Nahi Kay Adami Neyst Wa Naboot Ho Jay Balki Woh To Yahi Ruh(Spirit) Wa Badan(Body) Key Taluq Chutney Or In Mein Hijab Or Judai Ho Janey Or Ek Tarah Ki Halat Badalney Or Ek Ghar Se Doosrey Ghar Chaley Jane Ka Naam Hey.
[ Ba Hawala Haliyah,Baab Fadalul Mout ]

Imam Abu Yusuf Apni Musnad Mein Hazrat Anus Bin Maliq (Radi Allah Tala Anha) Sey Marwi Ek Hadess Rewayat Kartey Hein-
الانبیاء احیاء فی قبورھم یصلون
Ambiyah (Alayhisalam) Apni Qabro Mein Zinda Hein Or Namaz Ada Kartein Hein.
(Al Khasais Al Akbari 2:281)

Huzoor Safar-E-Mairaj Byan Karte Huy Fermatein Hein Key-
مررت علی موسی و ھو یصلی فی قبرہ
Mein Musa (Alayhisalam) Key Pass Sey Guzra To Aap Apni Qabr Mein Namaz Ada Ferma Rahey They.
(Muslim,2:268)

Mirkat Shareef Sharah Mashkooh Mein Hey- ل
ا فرق لھم فی الحالین ولذا قیل اولیاء اللہ لا یموتون و لکن ینتقلون من دار الی دار
Yani Aoliya Ki Dono Halatein Hayat Wa Mamat Mein Asalan Farq Nhi,Is Leye Kaha Gya Hey Key Wo Martey Nhi Balkey Ek Ghar Se Doosrey Ghar Tashreef Le Jatein Hein.
(Kitabul Salat,Baab Al Jumuah Amdadeyah Lahore)

Lihaza Suwal Mazkurah Mein Jin Aqaid Key Moataqid Shakhs Key Mutaliq Puchha Gaya Aysa Shakhs Gumrah Wa Baddeen Hey Or Gumrah Key Pechhy Namaz Ada Karna Jaiz Nhi Jesa Key- Kabiri Mein Hey-
روی محمدعن ابی حنیفۃوابی یوسف رحمھم اللہ ان الصلوۃخلف اھل الھواء لاتجوز۔
Hazrat Imam E Azam Or Imam Yusuf (Radi Allah Anhuma) Sey Imam Mohammad (Radi Allah Anha) Rewayat Kartey Hein Ki Ahley Hawa(Gumraho)Key Pechhy Beshaq Namaz Jaiz Nhi.
(Kabeeri, Safah 48)

By Mufti Haider Ali Qadri Sahab

2 Comments
  1. abdul hameed multani 918955047943 June 17, 2014 Reply

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *