Bakheel Bahut Hi Manhuse Khaslat Hai – Bakheel Maal Rakhte Hue Khane, Peene, Pahen’ne Oodne, Watan Aur Safar Harr Jagah, Harr Haal Me, Harr Cheez Me, Harr Kism Ki Takleef Uthata Hai Aur Harr Jagah Zaleel Hota Hai Aur Koi Bhi Is Ko Achi Nazar Se Nahi Dekhta.
Rasool’Allah Sallallahu Alaihi Wa’sallam, Ne Farmaya Hai Ke Sakhi Allah Se Khareeb Hai, Jannat Se Khareeb Hai, Insaanao Se Khareeb Hai, Jahan’num Se Door Hai Aur Bakheel Allah Se Door Hai, Jannat Se Door Hai,, Insaanao Se Door Hai, Jahan’num Se Khareeb Hai. Aur Yaqinan Sakhi Jahil, Ebadat Guzaar Bakheel Se Zyadah Allah Ko Pyara Hai. (Mishkaat Jld 1, Pg 164 Mujtabaee)
Aur
Huzoor-e-Akram Sallallahu Alaihi Wa’sallam, Ne Ye Bhi Farmaya Hai Ke Dhokebaaz Aur Bakheel Aur Ehsaan Jatane Wala Jannat Me Nahi Dakhil Hoga.
(Mishkaat Jld 1, Pg 165 Mujtabaee)
Aur Ye Bhi Hadees Me Aaya Hai Ke 2 Khaslatein Aisi Hai Jo Dono Ek Sath Momin Me Aaghat’ta Jama Nahi Hogi Ek Kanjusi Dusri Bad’aqlaaqi
(Mishkaat Jld 1, Pg 165 Mujtabaee)
Hadees Ka Matlab Ye Hai Ke, Dono Khaslatein Buri Hai Aur Ye Dono Buri Khaslatein Momin Me Ek Sath Nahi Payi Jayengi – Momin Agar Bakheel Hoga To Bad’aqlaaq Nahi Hoga Aur Agar Bad’aqlaaq Hoga To Baheel Nahi Hoga – Aur Agar Tum Kisi Aise Manhoos Aadmi Ko Dekho Ke Wo Bakheel Bhi Hai Aur Bad’aqlaaq Bhi Hai To Samajh Lo Ke Is Ke Emaan Me Kuch Futoor Hai Aur Ye Kamil Darje Ka Musalman Nahi.