Zakat Investment Per Hogi Ya Profit Per? Must Read

Question:
Kisi Ne Kisi Ke Karobar Me 50 Hazaar Rupee Se Shirkat (Investment) Ki, Ab In 50 Hazaar Per Zakat Hogi Ya Sirf Munafa (Profit) Per Hogi?

Answer:
Dukaan Ya Karobar Mein Kuch Cheezain Aisi Bhi Hoti Hain Jo Bechne (Sale) Ke Liye Nahi Hoti.
For Example, Furniture Wagera Ya Wo Cheezain Jo Bechne Ke Liye To Nahi Hoti Magar Bechne Me Munawat Karti Hain Maslan Darzi Ki Dukaan Hai To Is Ki Machines Kanchian Wagera In Sab Saman Ko Nikal Kar Baqi Samaan Jo Bechne Ke Liye Rakha Gaya Ho In Sab Ki Qeemat Nikal Li Jaye Woh Qeemat Or Munafa Mila Agar Nisab Ke Barabar Ho Gaye Ho Ya Ye Nisab Ke Barabar Nahi Magar Pehle Se Mojood Nisab Ke Barabar Kisi Raqam Par Saal Shoro Ho Chuka Hai To Is Raqam Ko Is Mein Mila Kar Qul Raqam Par Zakat Ada Ki Jayegi.

Answered By Mufti AbuBaker Siddiq Ash-Shazli

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *