Q19. Rasool Kaun Hote Hain ? Aur Nabi Aur Rasool Mein Kya Fark Hain ?

Q19. Rasool Kaun Hote Hain ? Aur Nabi Aur Rasool Mein Kya Fark Hain ?

Ans. Allah Azawajala Ne Jin Barguzida (naik) Bando Ko Apne Makhlooq Ki Hidayat Aur Rehnumai Ke Liye Apna Paigam Le Kr Bheja Unhe Rasool Kehte Hain, Ke Allah Tala Aur Uske Bando Ke Darmiyan Rasta Hota Hain Aur Logo Ko Khuda Ki Taraf Bulate Hain.
Nabi Aur Rasool Ke Maana Mein Bhi Koi Farak Nahi, Yeh Dono Lafz Ek Hi Maana Ke Liye Bole Aur Samjhe Jaate Hain, Albatta Nabi Sirf Us Bashar Ko Kehte Hain Jisse Allah Ne Hidayat Ke Liye Wahi Bheji Ho Jab Ke Rasool Farishto Mein Bhi Hote Hain Aur Insaano Mein Bhi Aur Baaz Ullma Yeh Farmatee Hain Ke Jo Nabi Nai (new) Shariat Laaye Usse Rasool Kehte Hain, Haan Nabi’on Ki Koi Tadad Mukarar Kar Lena Jayez Nahi Humme Yeh Etiqaad (aqida) Rakhna Chahiye Ke Khuda Tala Ki Har Nabi Per Humara Emaan Hain.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *