Q15. Kufr O Shirk Kisse Kehte Hain?

Q15) Kufr O Shirk Kisse Kehte Hain?
Ans: Nabi E Karim Sallalahu Alaihi Wasalam Jo Kuch Apne Rab Tala Ke Pass Se Laayen Un Mein Se Kisi Ek Baat Ko Bhi Naa Manna Kufr Hain. Aur Shirk Ke Maaana Hain, Khuda Ke Siwa Kisi Aur Ko Wajib Ul Wujud Ya Mustahiq E Ibadat Janna, Yaani Khuda Ki Khudai Mein Kisi Dusre Ko Sharik Karna Aur Yeh Kufr Ki Sab Se Badtareen Kism Hain. Iske Siwa Koi Baat Agar Che Kaisi Hi Shadid Kufr Ho, Shirk Nahi. Aur Kabhi Shirk Bol Kar Mutlakan Kufr Murad Liya Jata Hain. Jaisa Ke, Yeh Jo Quran Mein Allah Ne Farmaya Ke Shirk Naa Bakhsha Jayega [ Para 5, Surah Nisa, Ayaat No. 48 ] Woh Is Maana Per Hain Ke Yaani Kisi Kufr Ki Bilkul Maghfirat Naa Hogi. Kufr Karne Wale Ko Kaafir Aur Shirk Karne Wale Ko Mushrik Kaha Jata Hain.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *