Q11. Emaan Kisse Kehte Hain? Islam Aur Emaan Mein Kiya Farak Hain?
Ans: Sache Dil Se Un Tamam Baaton Ki Tasdeeq Karna Jo Zarooriat E Deen Se Hain Usse Emaan Kehte Hain, Ya Yun Samjhe, Ke Jo Kuch Huzoor Sallalahu Alaihi Wasalam Apne Rab Tala Ke Pass Se Layen Khawh Woh Hukm Ho Ya Khabar In Sab Ko Haq Janna Aur Sache Dil Se Manna Emaan Kehlata Hain Aur Jo Shakhs Laayen Usse Momim O Musalman Kehte Hain. Islam Ke Lughwi Maina, Itaet O Farmabardari Ke Hain. Aur Shayri Maina Mein Islam Aur Emaan Ek Hi Hain. In Mein Koi Farak Nahi Jo Momin Hain Woh Musalman Hain Aur Jo Musalman Woh Momin. Albatta, Sirf Zabani Iqrar Karna Jiske Saat Qalbi Tasdeeq Na Hon, Mutabbar Nahi. Isse Admi Momin Nahi Ho Sakta.
Please send me knollege of Islam already I am Muslim but I want to learn more and pls guid me
Salaam,
You can ask anything you wish to about Islam on Ask Question Page.
Here ==> http://www.kanzulislam.com/ask-question/