Safar e Mairaaj Ka Tafseeli Jawab

Nabi E Pak (Sallallahu Alai Hi Wasallam) Ne Allah (Azza Wa Jalla) Ko Apni Sar Ki Aankhon Se Bi Daikha Aur Dil Ki Aankhon Se Bi Daikha Hai. Hazrat E Ibn E Abbas Marvi Hai. (إنّ محمداً رأی ربہ مرتین،مرۃ ببصرہ ومرۃ بفؤادہ)

Tarjama: Beshak Muhammad(Sallallahu Alai Hi Wasallam) Ne Aapne Rab(Azza Wa Jalla) Ko Do Baar Daikha, Aik Martaba Aapne Sar Ki Aankhon Se Aur Dosri Martaba Apne Dil Ki Aankhon Se. (Book, Al Dur Ul Mansoor)

Issi Tarha Hazrat E Ibne Abbas Se Aik Aur Riwata Hai.Kay Nabi E Pak Sallallahu Alai Hi Wasallam Ne Farmaya. (رأیت ربي تبارک وتعالی)

Tarjama: Mene Apne Rab(Azza Wa Jalla) Ko Daikha Hai. (Book, Musnad E Ahmab)

Issi Tarha Bohat Hi Mash, Hoor Tareen Hadees Ki Kitab Bukhari Shareef, Uss Ki Sharah Fathul Bari Me Hai (إنّ اللہ سبحانہ وتعالی کلّم نبیہ محمداً صلی اللہ علیہ وسلم لیلۃ الإسراء بغیر واسطۃ)

Tarjama: Beshak Allah (Azza Wa Jalla) Mairaj Ji Raat Apne Nabi Hazrat Muhammad (Sallallahu Alai Hi Wassalm) Se Bina Kisi Wasty Kay Kalam Farmaya.(Book, Fathul Bari,) Issi Tarha Nabi E Pak (Sallallahu Alai Hi Wasallam) Ka Far’An Hai (رأیت ربي في أحسن صورۃ،)
Tarjama: Mene Apne Rab(Azza Wa Jalla) Ko Bohat Haseen Daikha. (Book, Sunann E Daarmi, Kitab Ur Ruya)

Han Ye Baat Yaad Rahe Kay Hamare Nabi E Pak (Sallallahu Alai Hi Wasallam) Ne Allah Ko Daikha Hai Magar Iss Tarha Daikha Kay Aap Ki Aankhon Ne Allah Ki Zaat Ka Ihata Nahi Kia. Kiyon Kay Allah Ki Zaat Ka Koi Aankh Ihata Nahi Kar Sakti.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *