Woh Kamal e Husn e Huzoor Hain

Wo Kamaal-e-Husn-e-Huzoor Hay Kay Gumaan-e-Naqs Jahaan Nahin Yehi Phool Khaar Say Duur Hay Yehi Sham’a Hai Kay Dhu-aan Nahin

Ba Khuda Khuda Ka Yehi Hay Darr Nahi Aur Koi Maffar Maqqar
Jou Wahaan Se Ho Yahin Aakay Ho Jou Yahaan Nahi Tou Wahan Nahin

Teyray Aagay Youn Hain Dabbay Lachay Fu-saha A’rab Kay Barray Barray Koi Jaanay Moo May Zubaan Nahin Nahin Balkay Jism Mein Jaan Nahin

Wohi Noor-e-Haq Wohi Zillay Rub Hai Unhee Say Sub Hai Unhee Ka Sub
Nahin Unki Milk Meyn Aasmaan Ke Zameen Nahin Ke Zamaan Nahin

Wohi Laa Makaan Kay Makeen Huay Sar-e-‘Arsh Takht Nasheen Huay
Wo Nabi Hai Jiss Kay Hain Ye Makaan Wo Khuda Hai Jiska Makaan Nahin

Sar-e-‘Ar(sh) Per Hai Teree Guzar Dil-e-Farsh Per Hai Teree Nazar
Malakoot-o-Mulk Mein Koi Shay Nahin Wo Tujh Pay A’yaan Nahin

Karoon Teray Naam Pay Jaa(n) Fida Na Buss Aik Jaa(n) Dou Jahaa(n) Fida
Dou Jahaan Say Bhi Nahin Jee Bharaa Karoon Kiya Karoron Jahaan Nahi

Karoon Madhay Ahle-e-Doel Raza Parray Iss Bala Meyn Meyree Balaa
Meyn Gada Hoon Apnay Kareem Ka Meyra Deen Paara-e-Naan Nahin

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *