Damishk Ke Bhare Darbar Me Ahle Bait Ke Ek Majloom Ne Yazeed Ko Mukhatab Karte Huwe Kaha Tha Aye Yazeed Sunle..! Husain Ke Khoon Se Jis Saltanat Ki Buniyaad Ko Tune Paani Diya Hai Teri Aulaad Bhi Uss Par Nahi Thookegi. Iss Jurratmandanah Khitab Par Saara Darbar Sannate Me Aa Gaya Tha. Saath Hi Unke Dilon Me Yeh Baat Utar Gayi Thi Ki Khandane Ahle Baite Risalat Ke Majloom Ki Yeh Aah Kabhi Khali Nahi Jaayegi.
.
Waqiya-e-qarbala Ke Kuch Hi Dino Baad Yazeed Ek Halakat Aafri Aur Intehayi Muji Marz Me Mubtela Huwa. Pait Ke Dard Aur Aanto Ke Zakhm Ki Tes Se Mahi E Be’aab Ki Tarah Tarapta Rehta Tha.
.
Hums Me Jab Usey Apni Maut Ka Yakeen Ho Gaya To Apne Bade Bete Muaawiyah Ko Bistare Murg Par Bulaya Aur Umure Saltanat Ke Baare Me Kuch Kehna Hi Chahta Tha Ki Be-sakhtah Bete Ke Moonh Se Ek Cheekh Nikli Aur Nihayat Zillat Aur Hikarat Ke Saath Baap Ki Paiskash Ko Thukra Diya Ke Jis Taaj Wa Takht Par Aale Rasool Ke Dhabbe Hai Main Usey Hargiz Qabool Nahi Kar Sakta. Khuda Is Manhoosh Saltanat Ki Wirasat Se Mujhe Mehroom Rakhe Jis Ki Buniyaade Sibt-e-rasool Ke Khoon Par Rakhi Gayi Hai.
.
Yazeed Apne Bete Ke Moonh Se Yeh Alfaaz Sunkar Tadap Gaya Aur Siddate Ranj Wa Alam Se Bistar Par Paanv Patak Ne Laga.
.
Maut Ke Kuch Din Pehle Yazeed Ki Aante Sarr Gayi Aur Usme Keere Parr Gaye Aur Taklif Ki Siddat Se Khinjar Ki Tarah Cheekhta Tha.
.
Paani Ka Qatrah Halak Se Niche Utarne Ke Baad Nastar Ki Tarah Chubhne Lagta Tha. Ajeeb Qahar-e-ilahi Ki Maar Thi Ki Paani Ke Bagair Bhi Tarapta Tha Aur Paani Pee Kar Bhi Cheekhta Tha. Bil Aakhir Usi Dard Ki Siddat Se Tadap Tadap Kar Uski Jaan Nikli. Uski Laash Me Aisi Haulnaak Bad’boo Thi Ke Kareeb Jana Muskil Tha. Jaise Wese Usko Supurde Khaakh Kiya Gaya.
(Naksh-e-karbala : Page-65)
Yazeed paleed aor uske chahne walo pe hazar bar lannat