HIQAYAT
Hazrat Imaam Hussain Radi-Allahu-Ta’aala-Anhu Ke Sahabzaade Ali Ausat Radi-Allahu-Ta’aala-Anhu Ka Naam To Ali Tha, Magar Aap Bahoat Zyada Ibadat Karne Ki Wajahse “Zianul Aabidin” Ke Lakab Se Mashoor The! Aap Har Din-Raat May 1000 Rakat Nafl Padha Karte The!
Ek Roz Aap Apne Makaan May Nafl Padh Rahe The Ki Aapke Makaan Ko Aag Lag Gayi! Log Aag Bhujane Lage Magar Hazrat Imaam Usi Khushu Wa Khuju Se Namaz Ada Karte Rahe! Jab Aag Bhuj Gayi Aur Aap Namaz Se Farig Hue To Logon Ne Arz Ki, Huzoor! Makaan Ko Aag Lag Gayi Thi! Hum Bhujane May Masroof Rahe Magar Aapne Parwah Tak Na Farmayi! Aapne Farmaya, Tum Log Yeh Aag Bhuja Rahe The Aur Main Aakhirat Ki Aag Bhujane May Mashgul Tha!
[ Raujur-Riyaheen Pg-55 / Hayatul Haiwaan Jild-1, Pg-117 ]
SABAK
Hazrat Imaam Zainul Aabidin Jannati Hone Ke Bawajudh Is Qadr Ibadat Farmate The Aur Aakhirat Ki Aag Bhujane May Masroof Rehte The!
Fir Hum Log Agar 5 Namazen Bhi Ba-Qayadgi Se Ada Na Karen Aur Jahannam Ki Aag Se Bachne Ki Koshish Na Karen To Yeh Hamari Kis Qadr Gaflat Hain!