Shohar Ke Huqooq Biwi Par – In the light of Quran o Ahadees

Allah Ta’ala Irshad Farmata Hai Wo (Biwi) Tumhari Libas Hai Aur Tum Unke Libas.
(Kanzul Iman : Para-2, Surah Bakar : Aayat-187)

Ummul Momenin Hazrat Aayesha Siddiqa & Hazrat Abu Huraira Radiallahu Anhu Se Riwayat Hai Ki Sarkare Madina Sallallaho Alayhi Wasallam Ne Irshad Farmaya :
Agar Main Kisi Ke Liye (Allah Ke Siwa) Sajde Ka Hukm Deta To Aurato Ko Hukm Deta Ki Apne Shohar Ko Sajda Kare.
(Tirmizi Sharif : Jild-1, Bab-788, Hadees-1158, Page-594)
  
Sarkare Madina Sallallaho Alayhi Wasallam Se Daryaft Kiya Gaya Ki Behtarin Aurat Ki Pehchan Kya Hai.? Aap Sallallaho Alayhi Wasallam Ne Farmaya, Jo Aurat Apne Shohar Ki Ita’at Wa Farmabardari Kare.
(Nisaai Sharif : Jild-2, Page-364 )

Hazrat Abu Said Radiallahu Anhu Se Riwayat Hai Ke Sarkare Madina Sallallaho Alayhi Wasallam Ne Irshad Farmaya: Shohar Ki Na Shukri Karna Ek Tarah Ka Kufra Hai.
(Bukhari Sharif : Jild-1, Hadees-28, Page-109)

Hazrat Abdullah Ibne Abbas Se Riwayat Hai Ki Sarkare Madina Sallallaho Alayhi Wasallam Ne Irshad Farmaya Ki:- Mujhe Dozakh Dikhayi Gayi.Maine Waha Aurato Ko Zyada Paya Uski Wajah Ye Hai Ki Wah Kufra Karti Hai.
Sahaba-E-Kiram Ne Arz Kiya Kya Wo Allah Ke Sath Kufra Karti Hai?
Pyare Aaqa Sallallaho Alayhi Wasallam Ne Farmaya Nahi.! Wo Shohar Ki Na-Shukri Karti Hai. Jo Ke Ek Tarah Ka Kufra Hai Aur Ehsan Nahi Manti Agar Tu Kisi Aurat Se Umar Bhar Ehsan Aur Neki Ka Sulook Kare Lekinek Baat Bhi Khilafe Tabiyat Ho Jaye To Ye Keh Degi. Maine Tujse Kabhi Aaram Aur Sukoon Nahi Paya.
(Bukhari Sharif : Jild-1, Hadees-28, Page-109)

Hazrat Umar Radiallahu Anhu Se Riwayat Hai Ki Sarkare Madina Sallallaho Alayhi Wasallam Ne Irshad Farmaya : Tumko Nahi Malum Aurat Ke Liye Shirk Ke Baad Sabse Bada Gunah Shohar Ki Na-Farmani Hai.
(Gunyatuttalebin : Page-114)

Hazrat Abu Huraira Radiallahu Anhu Se Riwayat Hai Ki Sarkare Madina Sallallaho Alayhi Wasallam Ne Irshad Farmaya:- Shohar Apni Biwi Ko Jis Waqt Bistar Par Bulaye Aur Wo Aane Se Mana Karde To Us Aurat Par Khuda Ke Farishte Subah Tak La’ant Karte Rehte Hai.
(Bukhari Sharif : Jild-3, Hadees-178, Page-96)

Sarkare Madina Sallallaho Alayhi Wasallam Ne Irshad Farmaya: Jab Shohar Apni Hajat (Sohbat) Ke Liye Biwi Ko Bulaye To Biwi Agar Roti Paka Rahi Ho To Usko Lazim Hai Ki Sab Kaam Chhord Kar Shohar Ke Paas Hazir Ho Jaye.
(Tirmizi Sharif : Jild-1, Hadees-1159, Page-595)

Hazrat Aayesha Radiallahu Anha Se Marwi Hai Ki Sarkare Madina Sallallaho Alayhi Wasallam Ki Khidmat Me Ek Jawan Aurat Hazir Huyi Aur Arz Kiya, YA RASOOLALLAH..! Main Jawan Aurat Hu Muje Nikah Ke Paigam Aate Hai Magar Me Shadi Ko Bura Samajti Hu. Aap Mujhe Bataiye Biwi Par Shohar Ka Kya Haq Hai.?
Pyare Aaqa Sallallaho Alayhi Wasallam Ne Farmaya : Agar Shohar Ki Choti Se Edi Tak Peep Ho Aur Woh Use Zaban Se Chate To Bhi Shohar Ka Haq Ada Nahi Kar Payegi.
Us Aurat Ne Pucha : To Kya Me Shadi Na Karu.?
Aap Sallallaho Alayhi Wasallam Ne Farmaya Tum Shadi Karo Kyun Ki Isme Bhalai Hai.
(Mukashefatul Kuloob : Page-617)

 

3 Comments
  1. jahan zeb August 24, 2014 Reply
  2. asif April 11, 2016 Reply
    • Sana July 25, 2016 Reply

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *