Rozon Ke Masail

Ayat-e-Qurani:
یٰٓاَیُّہَا الَّذِیْنَ اٰمَنُوْا کُتِبَ عَلَیْکُمُ الصِّیَامُ کَمَا کُتِبَ عَلَی الَّذِیْنَ مِنْ قَبْلِکُمْ لَعَلَّکُمْ تَتَّقُوْن

Tarjamah: Aye Imaan Walon ! Tum Per Roza Farz Kiya Gaya Jaisa Un Per Farz Hua Tha Jo Tum Se Pehle Huye, Takay Tum Gunaho Sey Bacho. (Al Baqrah, Ayaat :183)

شَہْرُ رَمَضَانَ الَّذِیْٓ اُنْزِلَ فِیْہِ الْقُرْاٰنُ ہُدًی لِّلنَّاسِ وَبَیِّنٰتٍ مِّنَ الْہُدٰی وَالْفُرْقَانِ فَمَنْ شَہِدَ مِنْکُمُ الشَّہْرَ فَلْیَصُمْہُ

Tarjamah: Mahey Ramzan Jis Mein Quran Utara Gaya Logon Ki Hidayat Ko Or Hidayat Or Haq Wa Batil Mein Judai Bayan Karney Key Leye To Tum Mein Jo Koi Yeh Mahina Paye To Iska Roza Rakhey (Al Baqrah, Ayaat : 185)

Namaz Ki Tarah Rozey Bhi Farz-e-a’in Hey Iski Farziat Ka Inkar Karney Wala Kafir Or Bila Uzr Chhodny Wala Sakht Gunahar Or A’zab-e-jahnnam Ka Sazawar Hey.

Roze Ki Tareef (Defination Of Fast)
Roza Urfey Shr’a Mein Musalmaan Ka Baneyat Ea’badat Subha Sadiq Se Guroob-e-aftab Tak Apne Aap Ko Kasdan Khaney Peeney Or Jima Se Baaz Rehna ,a’urat Ka Halatey Haiz Or Nifaas Se Khali Hona Shart Hey.

Roze Ki Panch Kisme Hein (Types of Fast)
(1) Farz
(2) Wajib
(3) Nafil
(4) Makruh-e-Tanzihi
(5) Makruh-e-Tehrimi

Farz Roze Ki Do (2) Kisme Hai
(1) Farz-e-moa’iyan (Jaisey Adaiy Ramzan)
(2) Farz-e-gair Moa’iyan (Jaisey Kazay e Ramzan)

Wajib Roze Ki Bhi Do Kismey Hein
(1) Wajib-e-Moaiyan Jaisey Nazrey Moa’iyan (Kisi Khas Din Ki Mannat ) Ka Iradah
(2) Wajib-e-Gair Moaiyan Jaisey Nazrey Mutlaq (Din Khaas Kiye Bina Mutlaq Mannat) Ka Iradah

Nafil Roza
(1) Nowein Daswein  Muharram Ka Rozah
(2) Her Islami Maah Teirwey,chodwey Or Pandrawiy Ka Tareekh Ka Rozah
(3) Arfa Key Din Ka Rozah
(4) Shawwal Key Chhey Rozey
(5) Soum-e-daud (alyhisalam) Y’ani Ek Din Rozah Ek Din Iftaar.

Makruh-e-Tanzihi Roza
(1) Soum-e-Dahr Yani Hamesha Rozah Rakhna
(2) Soum-e-Sukut Y’ani Esa Roza Jis Mey Koi Baat Na Karey
(3) Soum-e-Visal Y’ani Esa Rozah Rakh Kar Iftaar Na Karey Or Dusrey Din Phir Rozah Rakh Ley
(4) Sirf Haftey Ka Rozah
(5) Neerwaj Or Mehergan Ka Rozah.

Makruh-e-Tehrimi Roza
(1) E’id-ul-fitr Key Din Ka Roza
(2) E’id-ul-azha  Key Din Ka Roza
(3) Gyarah’barah Or Terah Zilhijah  Ka Roza

Roze Ki Niyat
Neyat Dil Key Iradah  Ka Naam Hey, Zaban Se Kehna Shart Nahi, Magar Zaban Se Keh Lena Mustahab Hey.
Agar Raat Mein Neyat Karey To Yun Kahey-

نَوَیْتُ اَنْ اَصُوْمَ غَدًا لِلّٰہِ تَعَالٰی مِنْ فَرْضِ رَمَضَانَ ھٰذَا

Tarjamah:- Mein Ney Niyat Ki Key Allah (Azza-wa-jalla) Key Leye Ramzan Ka Farz Roza Kal Rakhunga.
Or Agar Din Mein Neyat Kartein Ho To Yeh Kahey

نَوَیْتُ اَنْ اَصُوْمَ ھٰذَا الْیَوْمَ لِلّٰہِ تَعَالٰی مِنْ فَرْضِ رَمَضَانَ

Tarjamah-: Mein Ney Niyat Ki Key Allah (Azza-wa-jalla) Key Leye Aaj Ramzan Ka Farz Roza Rakhunga.

Mas’ala No. 1
Ramzan Key Ada Rozey Or Nazar Moa’iyan, Nafil Or Sunnat Wa Mustahab Or  Makruh Rozon Ki Niyat Ka Waqt Suraj Dubney Se Lekar Zahwa-e-kubra (dophair Se Takreeban Deid Ghantey Pehle) Tak Hey Is Darmiyan Mein Jab Bhi Neyat Karey Rozah Hojay Ga Lekin Raat Mein Hi Niyat Karlena Behtar Hey Chhey Rozon  Key Ilawa Jitney Rozey Hein Maslan Ramzan Ka  Kaza Rozah Nazar Moa’iyan Ki Kaza Rozah Kaffarey Ka Roza ,hajj Mein Kisi Jurm Karney Ka Roza Wagairah In Sab Rozey Ki Neyat Ka Waqt Gurub Aftab  Se Lekar Subh Sadiq Tuluh Honey Taq Hey Is Key Baad Nahi.

Mas’ala No. 2
Zahwey-h-kubra Neyat Ka Waqt Nahi, Balki Is Sey Paishter Neyat Hojana Zaruri Hey Or Agar Khaas Is Waqt Yani Jis Waqt Aaftab Khat-e-nisfunahaar Shar’ai Per Ponch Gaya Neyat Ki To Roza Na Hua.

Mas’ala No. 3
Din Mein Neyat Karey To Yeh Zaruri Hey Ki Yeh Neyat Karey Kay Mein Subha Sadiq Sey Rozadaar Hoon Agar Yeh Niyat Ki Ab Se Rozahdaar Hoon, Subha Se Nahi To Rozah Nhi Hua.

Mas’ala No. 4
Ramzaan Key Din Mein Na Rozah Ki Neyat Hey Nahi Ki Rozah Nahi, Agar Chey  Ma’loom Hey Kay Yeh Mahinah Ramzaan Ka Hey To Rozah Na Hua.

Mas’ala No. 5
Raat Mein Neyat Ki Phir Is Key Baad Raat Hi Mein Khaya Peya , To Neyat Jati Na Rahi Wohi Pehli Kafi Hey Phir Sey Neyat Karna Zaruri Nahi.

Mas’ala No. 6
Din Mein Who Niyat  Kaam Ki Hey Ki Subah Sadiq Sey Neyat Kartey Waqt Tak Rozah Key Khilaf Koi Amar Na Paya Gya Ho,lihaza Agar Subah Sadiq Key Baad Kuchh Kha Pey Liya To Ab Neat Nahi Ho Sakti.

Mas’ala No. 7
Sehri Khana Bhi Neyat Hey, Khwah Ramzaan Key Roza Key Leye Ho Ya Kisi Or Rozah Key Leye, Magar Jab Sahri Khatey Waqt Yeh Iradah Hey Ki Subah Ko Rozah Na Hoga To Yeh Sehri Khana Neyat Nahi.

Mas’ala No. 8
Ramzaan Key Her Roza Key Leye Nai Neyat Ki Zarurat Hey. Pehli Ya Kisi Tarikh Mein Poorey Ramzaan Key Roza Ki Neyat Kar Ley To Ye Niyat Sirf Usi Ek Din Key Haq Mein Hey, Baqi Dino Key Leye Nahi.

Mas’ala No. 9
Agar Nafil Rozah Rakh Kar Is Ko Tod Diya To Ab Is Ki Qaza Wajib Hey.

Mas’ala No. 10
Kisi Kaam Ki Mannat Mani To Kaam Poora Ho Janey Per Is Rozah Ko Rakhna Wajib Ho Gaya.

Mas’ala No. 11
A’urat Ko Nafil Ka Roza Bila Shohar Ki Ijazat Key Rakhna Mana Hey.

Written By Mufti Haider Ali Qadri Sahab

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *