Roze Key Makruhaat

Roze Key Makruhaat

1. Mas’ala: Jhoot, Geebat, Chugli, Gali Galooch Karna, Kisi Ko Takleef Deny Sey Roza Makruh Ho Jata Hey.

2. Mas’ala: Roza Daar Ko Bila Wajah Koi Cheez Zaban Per Rakh Kar Chakhna Ya Chaba Kar Ugal Dena Makruh Hey.

3. Mas’ala: Roza Daar Key Leye Kulli Karna Or Naak Mein Pani Chadaney Mein Mubalgah Karna Bhi Makruh Hey.

4. Mas’ala: Roza Daar Ko Gusl Karna Ya Thanda Pani Thandak Key Leye Ser Per Dalna Ya Geela Kapda Odhna Ya Baar Baar Kulli Ya Miswak Karna Ya Ser Or Badan Mein Tail Ki Malish Karna Ya Surma Lagana Ya Khushboo Sunghna Makruh Hey.

5. Mas’ala: Mun Mein Thook Ikhatta Karna Begair Roza Key Bhi Napasand Hey Or Roza Mein Makruh Hey.

6. Mas’ala: Sehri Khana Or Is Mein Takheer Karna Mustahab Hey,Magar Itni Takheer Muhrooh Hey Key Subah Ho Jany Ka Shak Ho Jay.

7. Mas’ala: Iftaar Mein Jaldi Karna Mustahab Hey, Magar Iftar Is Waqat Karey Key Guroob Ka Galib Guman Ho, Jab Tak Gumaan Galib Na Ho Iftaar Na Kary,Agar Chhey Mozin Ney Azan Keh Dey Hey Or Aabr Key Dinon Mein Iftaar Mein Jaldi Nahi Chahye.

Written By Mufti Haider Ali Qadri Sahab

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *