1. Mas’ala: Khany Peeny, Jim’aa Karny Say Roza Jata Rehta Hay, Jabkey Roza Daar Hona Yaad Ho, Agar Roza Daar Hona Yaad Na Raha Or Bhool Kar Kha, Pee Liya Ya Jim’aa Kar Liya To Roza Nahi Tootey Ga.
2. Mas’ala: Huqqa, Cigar, Cigarette Peene Say Roza Jata Rehta Hay,Agar Chhy Apny Khyal Mein Halq Tak Dhua Na Pohchta Ho, Balky Paan Ya Sirf Tambaku Khany Sy Bhi Roza Jata Rehyga, Agar Chhy Peek Thook Di Ho Key Is Kay Bareek Ajzaa Zaroor Halq Mein Pohchty Hein.
3. Mas’ala: Shakkar Wagairah Esi Cheezain Jo Mun Mein Rakhny Say Ghul Jati Hein,Mun Mein Rakhi Or Thook Nigal Gya Roza Jata Raha, Yun Hi Danti Kay Darmian Koi Cheez Chany Kay Barabar Ya Zyada Thi Usy Kha Gya Ya Kam Hi Thi, Magar Mun Say Nikal Kar Phir Kha Li Ya Danto Say Khoon Nikal Kar Halq Key Neechy Utra Or Khoon Thook Sey Zyada Ya Barabar Tha Yak Am Tha Magar Is Ka Maza Halq Mein Mehsoos Hua To In Sab Suraton Mein Roza Jata Raha Or Agar Kam Tha Or Mazah Bhi Mehsoos Na Hua, To Nahi.
4. Mas’ala: Kulli Kar Raha Tha Bila Qasad Pani Halq Say Utar Gya Ya Naak Mein Pani Chadhaya Or Dimag Ko Chadh Gya Roza Jata Raha ,Magar Jabki Roza Hona Bhool Gya Ho To Na Tooty Ga Agar Chhy Qasadan Ho, Yuhi Kisi Nay Roza Dar Ki Taraf Koi Cheez Phenki, Wo Us Key Halq Mein Chali Gai Roza Jata Raha.
5. Mas’ala: Ansu Mun Mein Chala Gaya Or Nigal Gya ,Agar Qatrah Do Qatrah Hein To Roza Na Gya Or Zyada Tha Key Uski Namkini Pury Mun Mein Mehsoos Hui To Jata Raha, Paseeny Ka Bhi Yhi Hukm Hey.
6. Mas’ala: Qasadan Mun Bhar Kar Ka;Ay Ki Or Roza Daar Hona Yaad Hey To Roza Toot Ga Or Agar Mun Bhar Say Kam Ki To Roza Nahi Toota.
7. Mas’ala: Bila Qasad Or Bay Ikhteyar Ka’ay Ho Gai To Roza Nahi Toota Thodi Ka’ay Ho Ya Zyada Roa Daar Hona Yaad Ho Ya Na Ho Behar Haal Roza Nahi Tooty Ga.
8. Mas’ala: Ka’ay Key Yeh Ahkaam Us Waqt Hein Key Ka’ay Mein Khana Aye Ya Sifraa Ya Khoon Or Agar Balgam Aya To Mutlakan Rozaa Na Toota.
9. Mas’ala: Ramazan Mein Bila Uzar Jo Shaks Aylaniya Qasadan Khaye To (Hakim-E-Islam) Hukm Hey Key Usy Qatl Kiya Jay.
10. Mas’ala: Muh Mein Rangeen Dhaga Ya Koi Rangeen Cheez Rakhi Jis Sey Thook Rangeen Ho Gaya Phir Us Rangeen Thook Ko Nigal Liya To Is Ka Roza Toot Gaya.
Writen By Mufti Haider Ali Qadri Sahab