Kin Cheezon Se Roza Nahi Tootta

1. Mas’ala: Bhool Kar Khaya Ya Peeya Ya Jimah Kar Liya Roza Nahi Toota.

2. Mas’ala: Makhkhi Ya Dhua Gubaar Bey Ikhteyar Halkh Key Andar Chaly Jany Say Roza Nahi Tootta Issi Tarah Surma Ya Tail Lagaya Agar Chhy Tail Ya Surma Ka Mazah Halq Mein Maloom Hota Ho Phir

Bhi Roza Nahi Toota (Haan! Ankh Mein Dawai Dalny Sey Toot Jayga) Yunhi Dawa Ya Mirch Koota Ya Aata Chhana Or Halq Mein Is Ka Asar Or Roza Maloom Ho To Bhi Roza Nahi Toota.

3. Mas’ala: Kulli Ki Or Pani Bilkul Ugal Di Sirf Kuch Tari Mun Mein Baki Rehgai Thook Key Sath Is Ko Nigal Gya Ya Kaan Mein Pani Chala Gya Ya Ahtlam Hogya Ya Geebat Ki Ya Janabat Ki Halat Mein Subhah Ki Balkey Agar Sarey Din Janabat Ki Halat Mein Reh Gya Or Gusl Nahi Kiya To Roza Nahi Gya Lekin Itni Dair Tak Bila Uzr Qasadan Gusl Na Karna Namaz Qaza Ho Jay Gunah Or Haram Hey Hadees Mein Aya Hey Ki Junbi(Jis Per Gusl Farz Hey) Jis Ghar Mein Rehta Ho Is Mein Rehmat Key Firishtey Nahi Aty.

5. Mas’ala: Bholey Sy Khana Kha Rha Tha,Yaad Atey Hi Foran Luqma Phenkdiya Ya Subha Sadiq Sey Pehly Kha Raha Tha Or Subah Hotey Hi Ugal Diya, Roza Nahi Gya Or Nigal Liya To Dono Suraton Mein Jata Raha.

By Mufti Haider Ali Qadri Sahab

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *